Baab-e-rahmat pe dua girya-kunaa'n ho jaise
Gum-shuda bete ki muztar koi maa'n ho jaise,
Us ki mumtaz ki rudaad-e-mohabbat likh doon,
Aise kahta hai koi shah-jahaa'n ho jaise,
Guftugu mein wo halaawat wo amal mein ikhlaas,
Us ki hasti pe farishte ka gumaa'n ho jaise,
Us ki duzdeeda-nigaahi ke hain sab hi ghayal,
Koi sayyaad liye teer-o-kamaa'n ho jaise,
Mujh ko urdu-e-mualla nahin aati ab tak,
Tujh ko ye zu'am tere ghar ki zabaa'n ho jaise,
Hum ko rakhti hai nishaane pe siyasat un ki,
Ghar jalaane pe ba-zid barq-e-tapaa'n ho jaise,
Us ke aate hi sanam-khaano'n ke but bol uthe,
Mashriqo'n mein koi ejaaz-e-bayaa'n ho jaise,
Yoon teri zulf ki khushbu hai sar-e-shaam udi,
Kashti-e-fikr yam-e-fan mein rawaa'n ho jaise,
Tere ash'aar utar aate hain 'Daaim' dil mein,
Haq-parasto'n ke liye saut-e-azaa'n ho jaise.!!
"Daaim Gawwasi"
___
Baab-e-rahmat = gate of mercy,
Girya-kunaa'n = weeping, crying,
Muztar = distressed, agitated, restless,
Rudaad-e-mohabbat = tale of love, love story,
Halaawat = sweetness, relish deliciousness
मिठास,
Ikhlaas = sincerity, great affection,
Duzdeeda-nigaahi = avoiding/shifting glances,
Zu'am = arrogance/ conceit,
Barq-e-tapaa'n = hot lightning,
Ejaaz-e-bayaa'n = modesty; miracle of description; oratory,
Mashriqo'n = Easts,
Yam-e-fan = bounty, ocean of art,
Saut-e-azaa'n = call to prayers,
No comments:
Post a Comment