Monday, January 8, 2018

Raat Main Is Kashmakash Mein Ek Pal Soya Nahin

Raat main is kashmakash mein ek pal soya nahin,
Kal main jab jaane laga to us ne kyun roka nahin,

Yoon agar sochun to ek ek naqsh hai seene pe naqsh,
Haaye wo chehra ke phir bhi aankh mein banta nahin,

Kyun udaati phir rahi hai dar-ba-dar mujh ko hawa,
Main agar ek shaakh se toota hua patta nahin,

Aaj tanha hoon to kitna ajnabi mahaul hai,
Ek bhi raste ne tere shahr mein roka nahin,

Harf barg-e-khushk ban kar toot'te girte rahe,
Ghuncha-e-arz-e-tamanna honth par phoota nahin,

Dard ka rasta hai ya hai sa'at-e-roz-e-hisaab,
Saikado'n logon ko roka ek bhi thehra nahin,

Shabnami aankhon ke jugnu kaanpte honthon ke phool,
Ek lamha tha jo 'Amjad' aaj tak guzra nahin.!!

"Amjad Islam Amjad"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...