Har ek baat teri be-sabaat kitni hai,
Palatna baat ko dam bhar mein baat kitni hai,
Abhi to shaam hui hai abhi to aaye ho,
Abhi se poochh rahe ho ki raat kitni hai,
Wo sunte sunte jo ghabraye haal-e-dil bole,
Bayaan kitni hui waardaat kitni hai,
Tere shaheed ko dulha bana hua dekha,
Rawaan janaaze ke peechhe baraat kitni hai,
Kisi tarah nahin kat'ti nahin guzar chukti,
Ilaahi sakht ye qaid-e-hayaat kitni hai,
Humaari jaan hai qeemat to dil hai bai'aana,
Giraa'n-baha lab-e-naazuk ki baat kitni hai,
Jo shab ko khilte hain ghunche wo din ko jhadte hain,
Bahaar-e-baagh-e-jahaan be-sabaat kitni hai,
Maheeno'n ho gaye dekhi nahin hai subah-e-ummeed,
Kise khabar ye museebat ki raat kitni hai,
Udu ke saamne ye dekhna hai hum ko bhi,
Kidhar ko hai nigaah-e-iltifaat kitni hai,
Ghazal likhein bhi to kya khaak hum likhein 'Bekhud',
Zameen dekhiye ye waahiyaat kitni hai.!!
"Bekhud Dehlvi"
___
Be-sabaat = Momentary
अस्थायी,
Giraa'n-baha = costly,
Nigaah-e-iltifaat = glance of love,
Waahiyaat = Absurd, Irrational,
No comments:
Post a Comment