Kisi ki aankh mein khud ko talaash karna hai,
Phir us ke baad humein aainon se darna hai,
Falak ki band gali ke faqeer hain taare!
Ke ghoom phir ke yahin se unhein guzarna hai,
Jo zindagi thi meri jaan tere saath gayi,
Bas ab to umr ke naqshe mein waqt bharna hai,
Ko tum chalo to abhi do qadam mein kat jaaye,
Jo faasla mujhe sadiyon mein paar karna hai,
To kyun na aaj yahin par qayaam ho jaaye,
Ke shab qareeb hai aakhir kahin theharna hai,
Wo mera sail-e-talab ho ki teri ra'anaai,
Chadha hai jo bhi samandar use utarna hai,
Sahar hui to sitaaron ne moond li aankhein,
Wo kya karein ki jinhein intezaar karna hai,
Ye khwab hai ke haqeeqat khabar nahin 'Amjad',
Magar hai jeena yahin par yahin pe marna hai.!!
"Amjad Islam Amjad"
No comments:
Post a Comment