Saturday, January 6, 2018

De Mohabbat To Mohabbat Mein Asar Paida Kar

De mohabbat to mohabbat mein asar paida kar,
Jo idhar dil mein hai ya rab wo udhar paida kar,

Dood-e-dil ishq mein itna to asar paida kar,
Sar kate shama ki maanind to sar paida kar,

Phir humara dil-e-gum-gashta bhi mil jaayega,
Pahle tu apna dahan apni kamar paida kar,

Kaam lene hain mohabbat mein bahut se ya rab,
Aur dil de humein ek aur jigar paida kar,

Tham zara ai adam-aabaad ke jaane waale,
Rah ke duniya mein abhi zaad-e-safar paida kar,

Jhoot jab bolte hain wo to duaa hoti hai,
Ya ilaahi meri baaton mein asar paida kar,

Aaina dekhna is husn pe aasaan nahin,
Peshtar aankh meri, meri nazar paida kar,

Subah-e-furqat to qayamat ki sahar hai ya rab,
Apne bandon ke liye aur sahar paida kar,

Mujh ko rota hua dekhein to jhulas jaayein raqeeb,
Aag paani mein bhi ai soz-e-jigar paida kar,

Mit ke bhi doori-e-gulshan nahin bhaati ya rab,
Apni qudrat se meri khaak mein par paida kar,

Shikwa-e-dard-e-judaai pe wo farmaate hain,
Ranj sahne ko humara sa jigar paida kar,

Din nikalne ko hai raahat se guzar jaane de,
Rooth kar tu na qayamat ki sahar paida kar,

Hum ne dekha hai ki mil jaate hain ladne waale,
Sulah ki khu bhi to ai baani-e-shar paida kar,

Mujh se ghar aane ke waade par bigad kar bole,
Kah diya ghair ke dil mein abhi ghar paida kar,

Mujh se kahti hai kadak kar ye kamaa'n qaatil ki,
Teer ban jaaye nishana wo jigar paida kar,

Kya qayamat mein bhi parda na uthega rukh se,
Ab to meri shab-e-yalda ki sahar paida kar,

Dekhna khel nahin jalwa-e-deedar tera,
Pahle moosa sa koi ahl-e-nazar paida kar,

Dil mein bhi milta hai wo kaba bhi us ka hai maqaam,
Raah nazdik ki ai azm-e-safar paida kar,

Zof ka hukm ye hai honth na hilne paayein,
Dil ye kahta hai ki naale mein asar paida kar,

Naale 'Bekhud' ke qayamat hain tujhe yaad rahe,
Zulm karna hai to patthar ka jigar paida kar..!!

"Bekhud Dehlvi l"
___
Dood-e-dil = A sigh (met.),
Dil-e-gum-gashta = lost heart,
Dahan = mouth
मुख, मुँह,
Zaad-e-safar = provisions for journey,
Sahar = morning,
Soz-e-jigar = burning of heart,
Khu = habit, custom, disposition, behaviour,
Baani-e-shar = founder of evil
झगड़े की जड़, झगड़ा करने वाला,
Shab-e-yalda = longest night of winter,
Azm-e-safar = determination to travel,
Zof = weak, feeble,

1 comment:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...