Monday, January 8, 2018

Jab Bhi Aankhon Mein Tere Wasl Ka Lamha Chamka

Jab bhi aankhon mein tere wasl ka lamha chamka,
Chashm-e-be-aab ki dahleez pe dariya chamka..

Fasl-e-gul aai khile baagh mein khushbu ke alam,
Dil ke saahil pe tere naam ka taara chamka..

Aks be-naqsh hue aaine dhundlaane lage,
Dard ka chaand sar-e-baam-e-tamanna chamka..

Pairahan mein bhi tera husn na tha barq se kam,
Jab khule band-e-qaba aur hi naqsha chamka,

Rooh ki aankhein chaka-chaundh hui jaati hain,
Kis ki aahat ka mere kaan mein naghma chamka..

Rang aazaad hue gul ki girah khulte hi,
Ek lamhe mein ajab baagh ka chehra chamka..

Dil ki deewaar pe udte rahe malboos ke rang,
Der tak in mein teri yaad ka saya chamka..

Lahrein uth uth ke magar is ka badan choomti thi'n,
Wo jo dariya pe gaya khoob hi dariya chamka..

Yoon to har raat chamakte hain sitaare lekin,
Wasl ki raat bahut subah ka taara chamka..

Hijr panpa na tera wasl humein raas aaya,
Kisi maidaan mein taara na humara chamka..

Jaise baarish se dhule sehn-e-gulistaan 'Amjad',
Aankh jab khushk hui aur bhi chehra chamka..!!

"Amjad Islam Amjad"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...