Bewafa kahne se kya wo bewafa ho jaaeyga,
Tere hote is sifat ka doosra ho jaayega,
Shart kar lo phir mujhe barbaad hona bhi qubool,
Khaak mein mil kar to haasil mudda'a ho jaayega,
Sar na hoga dosh par to kya na hogi guftugu,
Hichkiyo'n se shukr qaatil ka ada ho jaayega,
Seena toda dil mein chutki li jigar zakhmi kiya,
Kya khabar thi teer bhi teri ada ho jaayega,
Mere kahne mein hai dil jab tak mere pahlu mein hai,
Aap le lijiye ise ye aap ka ho jaayega,
Saath un ke jaan bhi armaan bhi jaayenge aaj,
Subah se pahle rawaana qaafila ho jaayega,
Main malu'n talwo'n se aankhein wo kahein samjhunga main,
Yaad rakh pheeka agar rang-e-hina ho jaayega,
Phir wahi jhagde ka jhagda hai agar qum kah diya,
Tegh ka mansukh saara faisla ho jaayega,
Kis khushi mein haaye kaisa ranj phaila kya karun,
Kya khabar thi hanste hanste wo khafa ho jaayega,
Hashr tak kyoon baat jaaye kyun pade ghairo'n ke munh,
Ghar mein samjhauta humara aap ka ho jaayega,
Aankh se hai wasl ka iqraar dil dugda mein hai,
Tum zabaan se apni kah doge to kya ho jaayega,
Zulm se gar zabeh bhi kar do mujhe parwaah nahin,
Lutf se darta hoon ye meri qaza ho jaayega,
Us ne chheda tha mujhe tum jaan doge kab humein,
Kah diya main ne bhi jab waada wafa ho jaayega,
Yoon sawaal-e-wasl par taala kiya barso'n koi,
Sabr kar muztar na ho tera kaha ho jaayega,
Laakh duniya mein haseen hon laakh hoorein khuld mein,
Mujh ko jo tu hai wo koi doosra ho jaayega,
Tauba bhi kar li thi ye bhi nasha ki thi ek tarang,
Aap samjhe the ke 'Bekhud' paarsa ho jaaeyga.!!
"Bekhud Dehlvi"
No comments:
Post a Comment