Dil hai mushtaaq juda aankh talabgaar juda,
Khwahish-e-wasl juda hasrat-e-deedaar juda,
Zahido'n se na bani hashr ke din bhi ya-rab,
Wo khade hain teri rahmat ke talabgaar juda,
Ji jalaane ko sataane ko mitaane ko mujhe,
Wo juda ghair juda charkh-e-sitamgar juda,
Bijliya'n hazrat-e-moosa pe giri'n do ek baar,
Shola-e-shauq juda shola-e-deedaar juda,
Ho gaye wo sahar-e-wasl ye kah kar rukhsat,
Tujh se karta hai mujhe charkh-e-sitamgar juda,
Qatl karte hi mujhe jalwa-numaai bhi hui,
Dar pe hangama alag hai pas-e-deewaar juda,
Zahido'n ki teri rahmat pe chadhaai hai alag,
Toliya'n baandh kar aaye hain gunahgaar juda,
Waz'a ka pas bhi hai 'Bekhud'-e-may-khwaar zaroor,
Kaag botal se na kijiye sar-e-bazaar juda.!!
"Bekhud Dehlvi"
___
Mushtaaq = desirous/ eager
इच्छुक,
Charkh-e-sitamgar = tyrant sky,
Shola-e-shauq = flame of love,
Shola-e-deedaar = flame of sight,
Jalwa-numaai = manifestation,
Pas-e-deewaar = behind the wall,
Waz'a = manner/ state/ style
तौर-तरीक़ा,
Paas = regards, supervision, sustenance, up bringing,
Kaag = cork,
No comments:
Post a Comment