Monday, January 8, 2018

Ye Jo Haasil Hamein Har Shai Ki Farawaani Hai

Ye jo haasil hamein har shai ki farawaani hai,
Ye bhi to apni jagah ek pareshaani hai...

Zindagi ka hi nahin thhor-thhikana maloom,
Maut to tay hai ke kis waqt kahaan aani hai...

Koi karta hi nahin zikr wafadaari ka,
In dinon ishq mein aasaani hi aasaani hai...

Kab ye socha tha kabhi dost ke yoon bhi hoga,
Teri soorat teri aawaz se pahchaani hai...

Chain lene hi nahin deti kisi pal mujh ko,
Roz-e-awwal se mere saath jo hairaani hai...

Ye bhi mumkin hai ki aabaadi ho is se aage,
Ye jo ta-hadd-e-nazar phailti viraani hai...

Kyun sitaare hain kahin aur kahin aansu hain,
Aankh waalon ne yahi ramz nahin jaani hai...

Takht se takhta bahut door nahin hota hai,
Bas yahi baat hamein aap ko batlaani hai...

Dost ki bazm hi wo bazm hai 'Amjad' ke jahaan,
Aql ko saath mein rakhna badi nadaani haI.!!

"Amjad Islam Amjad"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...