Lahu mein tairte phirte malaal se kuchh hain,
Kabhi suno to dilon mein sawaal se kuchh hain,
Main khud bhi doob raha hun har ek sitaare mein,
Ke ye charagh mere hasb-e-haal se kuchh hain,
Ghum-e-firaaq se ek pal nazar nahin hat'ti,
Is aaine mein tere khadd-o-khaal se kuchh hain,
Ek aur mauj ki ai sail-e-ishtibaah abhi,
Humari kasht-e-yaqeen mein khyaal se kuchh hain,
Tere firaaq ki sadiyaan tere wisaal ke pal,
Shumaar-e-umr mein ye maah o saal se kuchh hain.!!
"Amjad Islam Amjad"
___
Hasb-e-haal = as the circumstances demand, as exigency may require,
Khadd-o-khaal = features, shape, physique,
Sail-e-ishtibaah = torrent of suspicion/ambiguity,
No comments:
Post a Comment