Monday, January 8, 2018

Tash'heer Apne Dard Ki Har Su Karaaiye

Tash'heer apne dard ki har su karaaiye,
Ji chahta hai minnat-e-tiflaa'n uthaaiye...

Khushbu ka haath thaam ke kijiye talaash-e-rang,
Paao'n ke naqsh dekh ke rasta banaaiye...

Phir aaj pattharo'n se mulaqaat kijiye,
Phir aaj satah-e-aab pe chehre banaaiye...

Har inkishaaf dard ke parde mein aayega,
Gar ho sake to Khud se bhi Khud ko chhupaaiye,

Phoolon ka raasta nahin yaaro mera safar,
Paao'n azeez hain to abhi laut jaaiye... 

Kab tak hina ke naam pe dete rahein lahu,
Kab tak nigaar-e-dard ko dulhan banaaiye...

'Amjad' mata-e-umr zara dekh-bhaal ke,
Aisa na ho ki baad mein aansu bahaaiye.!!

"Amjad Islam Amjad"
___
Tash'heer = publicity,
Minnat-e-tiflaa'n = childish request,
Satah-e-aab = surface of water,
Inkishaaf = disclosure, exposition,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...