Thursday, January 25, 2018

Naazuk They Is Qadar Ke Gul-e-tar Se Mar Gaye

Naazuk They Is Qadar Ke Gul-e-tar Se Mar Gaye,
Hum Tohmato'n Ke Ek Hi Patthar Se Mar Gaye...

Ma'aloom Kar Raha Tha Zamana Jawaaz-e-marg,
Apno'n Ne Kah Diya Ke Muqaddar Se Mar Gaye..!

نَازک تھے اِس قَدر کہ گُلِ تَر سے مَرگئے
ہم تہمتوں کے ایک ہی پتھر سے مَرگئے

معلوم کر رہا تھا۔۔۔۔۔۔ زمانہ جوازِ مَرگ
اپنوں نے کہہ دیا کہ مقدر سے مَرگئے ۔۔۔!!

Tuesday, January 23, 2018

Saturday, January 20, 2018

Mere Veeraan Dareechon Mein Bhi Khushbu Jaage

Mere Veeraan Dareechon Mein Bhi Khushbu Jaage...
Wo Mere Ghar Ke Dar-o-baam Sajaane Aaye.

Isi Kooche Mein Kayi Us Ke Shanasa Bhi To Hain...
Wo Kisi Aur Se Milne Ke Bahaane Aaye..!!

میرے ویران دریچوں میں بھی خوشبو جاگے
وہ میرے گھر کے در و بام سجانے آئے

اِسی کوچے میں کئی اُس کے شناسا بھی تو ھیں
وہ کسی اور سے ملنے کے بہانے آئے..!

Friday, January 19, 2018

Abhi Taaza Hai Bahut Ghaao Bichhad Jaane Ka

Abhi Taaza Hai Bahut Ghaao Bichhad Jaane Ka,
Gher Leti Hai Teri Yaad Sar-e-shaam Abhi...
Ek Nazar Aur Idhar Dekh Maseeha Mere,
Tere Beemaar Ko Aaya Nahi Aaraam Abhi..!!

Thursday, January 18, 2018

Thursday, January 11, 2018

Duniya Ko Mere Dil Shikayaat Ajab Hain

Duniya Ko Mere Dil Se Shikayaat Ajab Hain,
Main Kaise Bataaun Mere Haalaat Ajab Hain...

Main To Wahi Kahta Hoon Ke Jo Beet Raha Hai,
Aur Log Ye Kahte Hain Khyalaat Ajab Hain...

Ab Ke Koi Ahsaas Bhi Hone Nahi Deta,
Ab Ke To Tere Ghum Ke Kamalaat Ajab Hain...

Apni To Hai Sab Jung Ki Taiyyari Mukammal,
Par Madd-e-muqaabil Ke Bayanaat Ajab Hain...

Mashkook Si Khamoshi Hai Be'chain Labo'n Par,
Maasoom Si Aankho'n Mein Sawalaat Ajab Hain..!

"Farhat Abbas Shah"

دنیا کو مرے دل سے شکایات عجب ہیں
میں کیسے بتاؤں مرے حالات عجب ہیں

میں تو وہی کہتا ہوں کہ جو بیت رہا ہے
اور لوگ یہ کہتے ہیں خیالات عجب ہیں

اب کے کوئی احساس بھی ہونے نہیں دیتا
اب کے تو ترے غم کے کمالات عجب ہیں

اپنی تو ہے سب جنگ کی تیاری مکمل
پر مدِ مقابل کے بیانات عجب ہیں

مشکوک سی خاموشی ہے بے چین لبوں پر
معصوم سی آنکھوں میں سوالات عجب ہیں.

"فرحت عباس شاہ"

Milegi Shekh Ko Jannat Humein Dozakh Ataa Hoga

Milegi Shekh Ko Jannat Humein Dozakh Ata Hoga, 
Bas Itni Baat Thi Jis Ke Liye Mahshar Bapa Hoga..

Bata Dun, Ishq Mein Deewana Ban Jaane Se Kya Hoga,
Wo Be-parda Milenge Parda Deewane Se Kya Hoga..

Humein Maloom Hai, Hum Se Suno, Mahshar Mein Kya Hoga,
Sab Us Ko Dekhte Honge Wo Hum Ko Dekhta Hoga..

Jo Kho Baithe Namaaz-e-ishq Mein Hosh-o-hawaas Apne,
Hisaab Roz-e-mahshar Aise Deewane Se Kya Hoga..

Samajhta Kya Hai Tu Deewangaan-e-ishq Ko Zaahid,
Ye Ho Jaayenge Jis Jaanib Usi Jaanib Khuda Hoga.!!

ملے گی شیخ کو جنت ہمیں دوزخ عطا ہوگا
بس اتنی بات تھی جسکے لیے ،، محشر بپا ہوگا

بتا دوں ، عشق میں دیوانہ بن جانے سے کیا ہوگا
وہ بے پردہ ملیں گے پردہ دیوانے سے کیا ہوگا

ہمیں معلوم ہے، ہم سے سنو، محشر میں کیا ہوگا
سب اسکو دیکھتے ہوں گے وہ ہمکو دیکھتا ہوگا

جو کھو بیٹھیں نماز عشق میں ہوش و حواس اپنے
حساب روز ؐمحشر ایسے دیوانے کا کیا ہوگا

سمجھتا کیا ھے، تو دیوانگان عشق کو زاہد
یہ ہو جائیں گے جس جانب اسی جانب خدا ہوگا.

Ab Kahaan Aur Kisi Cheez Ki Ja Rakkhi Hai

Ab Kahaan Aur Kisi Cheez Ki Ja Rakkhi hai,
Dil Mein Ek Teri Tamanna Jo Basa Rakkhi Hai...

Sar-ba-kaf Main Bhi Hun Shamsheer-ba-kaf Hai Tu Bhi,
Tu Ne Kis Din Pe Ye Taqreeb Utha Rakkhi Hai...

Dil Sulagta Hai Tere Sard Rawayye Se Mera,
Dekh Is Barf Ne Kya Aag Laga Rakkhi Hai...

Aaina Dekh Zara Kya Main Ghalat Kahta Hoon,
Tu Ne Khud Se Bhi Koi Baat Chhupa Rakkhi Hai...

Jaise Tu Hukm Kare Dil Mera Waise Dhadke,
Ye Ghadi Tere Ishaaron Se Mila Rakkhi Hai...

Mutmaee'n Mujh Se Nahi Hai Jo Rai'yat Meri,
Ye Mera Taaj Rakha Hai Ye Qaba Rakkhi Hai...

Gauhar-e-Ashk Se Khaali Nahi Aankhein "Anwar",
Yahi Punji To Zamaane Se Bacha Rakkhi Hai.!!

"Anwar Masood"
_______________

Ja = place, space, occasion,
Sar-ba-kaf = one who is willing to die,
Shamsheer-ba-kaf = sword in hand,
Taqreeb = occasion, ceremony, bringing near,
Rai'yat = public/people/masses,
Qaba = apparel, garment,
Gauhar-e-ashk = pearl of tear,
____________________

اب کہاں اور کسی چیز کی جا رکھی ہے
دل میں اک تیری تمنا جو بسا رکھی ہے..

سر بکف میں بھی ہوں شمشیر بکف ہے تو بھی
تو نے کس دن پہ یہ تقریب اٹھا رکھی ہے..

دل سلگتا ہے ترے سرد رویے سے مرا
دیکھ اب برف نے کیا آگ لگا رکھی ہے..

آئنہ دیکھ ذرا کیا میں غلط کہتا ہوں
تو نے خود سے بھی کوئی بات چھپا رکھی ہے..

جیسے تو حکم کرے دل مرا ویسے دھڑکے
یہ گھڑی تیرے اشاروں سے ملا رکھی ہے..

مطمئن مجھ سے نہیں ہے جو رعیت میری
یہ مرا تاج رکھا ہے یہ قبا رکھی ہے..

گوہر اشک سے خالی نہیں آنکھیں انورؔ
یہی پونجی تو زمانے سے بچا رکھی ہے.. 

Tuesday, January 9, 2018

Wo Nagar Koocha O Bazaar Kahaan Bhoole Hain

وہ  نگر  کُوچہ  و   بازار        کہاں بُھولے   ہیں
پُھول  بُھولے  ہیں  کہاں، خار کہاں بُھولے   ہیں

ڈھلتی شاموں کی ضِیا  میں    ترا رستہ    تکنا
سَر   جُھکائے   ہُوے   اَشجار  کہاں بُھولے   ہیں

رات  بھر   شہر  کی  گلیوں    میں بھٹکتے   رہنا
ڈُوبتے   چاند    کے   اَسرار    کہاں بُھولے   ہیں

اُس کے ہونٹوں پہ خموشی کےکڑے پہرے   تھے
کوئ     اِقرار    نہ    اِنکار      کہاں بُھولے   ہیں

مُسکراتی ہُوئ  آنکھوں  کی سِتارہ سِی    چمک
فِتنے   ڈھاتی  ہُوئ   رفتار     کہاں بُھولے   ہیں

جِن کو سِکّوں کی کھنک سُن   کے سُکوں مِلتا تھا
وہ  ترے  شہر   کے   کِردار    کہاں بُھولے   ہیں

جو  فقط  جِسم   کی  آواز    سُنا کرتے    تھے
سنگِ  مر مر کے وہ  شہکار   کہاں بُھولے   ہیں

زندگی بھر بھی گِراتے   تو     بھلا کیا    گِرتی
سونے  چاندی کی تھی دِیوار کہاں بُھولے   ہیں

کِس  نے بیچی تھی سرِعام     وفا کی    حُرمت
کون  کِس کا   تھا   خرِیدار    کہاں بُھولے   ہیں

اب  تری  یاد  بھی آتی    ہے      تو دل   دُکھتا  ہے
کون  کِتنا    تھا     وفا   دار    کہاں بُھولے   ہیں

شہرِ  جاں جِن کے  تصّوُر سے  مہک اُٹھتا    تھا
مرے    ساتھی  مرے  دل دار  کہاں بُھولے   ہیں

کھو دِیا تجھ کو مگر    کوئ     گِلہ بھی  نہ  کِیا
وہ    اَنا     اور    وہ    پِندار   کہاں بُھولے   ہیں

اُس  کی   گلیوں  کی   ہواوں    کو سلامِ   حسرت
اُس  کے  بِھیگے ہُوے رُخسار   کہاں بُھولے   ہیں

اُس  کی بستی کی خِزائیں     ہیں ابھی یاد "ظہیر"
خُشک پتّوں  کے   وہ   اَنبار    کہاں بُھولے   ہیں

"ظہیر اقبال"

Dekhiye Ho Gayi Badnaam Masihaai Bhi

دیکھیے ہو گئی بدنام مسیحائی بھی
ہم نہ کہتے تھے کہ ٹلتی ہے کہیں آئی بھی
.
حسن خوددار ہو تو باعثِ شہرت ہے ضرور
لیکن ان باتوں میں ہو جاتی ہے رسوائی بھی
.
سینکڑوں رنج و الم درد و مصیبت شبِ غم
کتنی ہنگامہ طلب ہے مری تنہائی بھی
.
تم بھی دیوانے کے کہنے کا برا مان گئے
ہوش کی بات کہیں کرتے ہیں سودائی بھی
.
بال و پر دیکھ تو لو اپنے اسیرانِ قفس
کیا کرو گے جو گلستاں میں بہار آئی بھی
.
پاؤں وحشت میں کہیں رکتے ہیں دیوانوں کے
توڑ ڈالیں گے یہ زنجیر جو پہنائی بھی
.
اے میرے دیکھنے والے تری صورت پہ نثار
کاش ہوتی تری تصویر میں گویائی بھی
.
اے قمر وہ نہ ہوئی دیکھیے تقدیر کی بات
چاندنی رات جو قسمت سے کبھی آئی بھی
.
قمر جلالوی

Ho Gaye Khwaab Bhi Aankho'n Ke Paraaye

Ho Gaye Khwaab Bhi Aankho'n Ke Paraaye, Haaye...
Koi Aise Bhi Nigaaho'n Ko Na Bhaaye, Haaye...

Saath Hote Hain Ujaalo'n Ke Safar Mein Din Bhar...
Chhorh Jaate Hain Andhero'n Mein Ye Saaye, Haaye...

Zindagi, Aaj Ye Kis Mod Pe Le Aayi Hai...
Koi Rasta Hai Na Manzil, Na Saraaye, Haaye...

Dil Ki Bigdi Hui Haalat Pe Taras Aata Hai...
Ab Ye Aalam Hai Ke Har Baat Pe Haaye, Haaye...

Us Ki Zidd Hai Ke Usey Ja Ke Manaaun "Zakhmi"...
Meri Khwaahish Wo Mujhe Aa Ke Manaaye, Haaye..!!

"Siraaj Aalam Zakhmi"

ہوگئے خواب بھی آنکھوں کے پرائے ،،، ہائےےے
کوئی ایسے بھی نگاہوں کو نہ بھائے ،، ہائےےے

ساتھ ہوتے ہیں ،،،،،،،، اُجالوں کے سفر میں دن بھر
چھوڑ جاتے ہیں اندھیروں میں یہ سائے ،، ہائےےے

زندگی ،،،،،،،،،،،،،،،،،، آج یہ کس موڑ پہ لے آئی ہے
کوئی رستہ ہے ،، نہ منزل ،، نہ سرائے ،، ہائےےے

دل کی بگڑی ہوئی ،،، حالت پہ ترس آتا ہے
اب یہ عالم ہے کہ ہر بات پہ ہائے ،، ہائےےے

اس کی ضد ہے کہ اُسے جا کے مناؤں "زخمی"
میری خواہش وہ مجھے آ کے منائے ،، ہائےےے

"سراج عالم زخمی"

Khaaye Jaati Thi Koi Fikr Usey

Khaaye Jaati Thi Koi Fikr Usey,
Aise Hansta Tha Jaise Roya Ho.!

‏کھائے جاتی تھی کوئی فکر اُسے
ایسے  ہنستا  تھا جیسے  رویا ہو

Suno, Jo Muskuratey Hain, Unhein Bhi Rog Hote Hain

Suno..!
Jo Muskuratey Hain,
Unhein Bhi Rog Hote Hain,
Bahut Majboor Hote Hain,
Raatein Jaagti Un Ki, Duao'n Mein Guzarti Hain,
Nigaahein Bheegti Aur Palkein Bhi Larazti Hain,
Na Maazi Bhoolta Un Ko, Na Koi Aas Hoti Hai,
Faqat Ek Pyaas Hoti Hai,
Jo Jeene Bhi Nahi Deti,
Jo Marne Bhi Nahi Deti,
Aziyat Aag Ki Soorat Dilo'n Mein Hi Sulagti Hai,
Ye Shiddat Aur Badhti Hai, Ye Shiddat Aur Badhti Hai,
Suno..!
Jo Muskuratey Hain,
Unhein Bhi Rog Hote Hain.!!

ﺳﻨﻮ !
ﺟﻮ ﻣﺴﮑﺮﺍﺗﮯ ﮨﯿﮟ ،
ﺍﻧﮩﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺭﻭﮒ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺑﮩﺖ ﻣﺠﺒﻮﺭ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺭﺍﺗﯿﮟ ﺟﺎﮔﺘﯽ ﺍﻧﮑﯽ ، ﺩﻋﺎﺅﮞ ﻣﯿﮟ ﮔﺰﺭﺗﯽ ﮨﯿﮟ
ﻧﮕﺎﮨﯿﮟ ﺑﮭﯿﮕﺘﯽ ﮨﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﭘﻠﮑﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﻟﺮﺯﺗﯽ ﮨﯿﮟ
ﻧﮧ ﻣﺎﺿﯽ ﺑﮭﻮﻟﺘﺎ ﺍﻥ ﮐﻮ ﻧﮧ ﮐﻮﺋﯽ ﺁﺱ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﮯ
ﻓﻘﻂ ﺍﮎ ﭘﯿﺎﺱ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﮯ
ﺟﻮ ﺟﯿﻨﮯ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﯾﺘﯽ
ﺟﻮ ﻣﺮﻧﮯ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﯾﺘﯽ
ﺍﺫﯾﺖ ﺁﮒ ﮐﯽ ﺻﻮﺭﺕ ﺩﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﮨﯽ ﺳﻠﮕﺘﯽ ﮨﮯ
ﯾﮧ ﺷﺪﺕ ﺍﻭﺭ ﺑﮍﮬﺘﯽ ﮨﮯ ﯾﮧ ﺷﺪﺕ ﺍﻭﺭ ﺑﮍﮬﺘﯽ ﮨﮯ
ﺳﻨﻮ !
ﺟﻮ ﻣﺴﮑﺮﺍﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺍﻧﮩﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺭﻭﮒ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ !!......

Huzoor-e-yaar Mein Harf Iltija Ke Rakkhe The

Huzoor-e-yaar mein harf iltija ke rakkhe the,
Charaagh saamne jaise hawa ke rakkhe the...

Bas ek ashk-e-nadamat ne saaf kar daale,
Wo sab hisaab jo hum ne utha ke rakkhe the...

Sumoom-e-waqt ne lahje ko zakhm zakhm kiya,
Wagarna hum ne qareene saba ke rakkhe the...

Bikhar rahe the so hum ne utha liye khud hi,
Gulaab jo teri khaatir saja ke rakkhe the...

Hawa ke pahle hi jhonke se haar maan gaye,
Wahi charaagh jo hum ne bacha ke rakkhe the...

Tum hi ne paao'n na rakkha wagarna wasl ki shab,
Zameen pe hum ne sitaare bichha ke rakkhe the...

Mita saki na unhein roz o shab ki baarish bhi,
Dilon pe naqsh jo rang-e-hina ke rakkhe the...

Husool-e-manzil-e-duniya kuchh aisa kaam na tha,
Magar jo raah mein patthar ana ke rakkhe the.!!

"Amjad Islam Amjad"

Monday, January 8, 2018

Jab Bhi Aankhon Mein Tere Wasl Ka Lamha Chamka

Jab bhi aankhon mein tere wasl ka lamha chamka,
Chashm-e-be-aab ki dahleez pe dariya chamka..

Fasl-e-gul aai khile baagh mein khushbu ke alam,
Dil ke saahil pe tere naam ka taara chamka..

Aks be-naqsh hue aaine dhundlaane lage,
Dard ka chaand sar-e-baam-e-tamanna chamka..

Pairahan mein bhi tera husn na tha barq se kam,
Jab khule band-e-qaba aur hi naqsha chamka,

Rooh ki aankhein chaka-chaundh hui jaati hain,
Kis ki aahat ka mere kaan mein naghma chamka..

Rang aazaad hue gul ki girah khulte hi,
Ek lamhe mein ajab baagh ka chehra chamka..

Dil ki deewaar pe udte rahe malboos ke rang,
Der tak in mein teri yaad ka saya chamka..

Lahrein uth uth ke magar is ka badan choomti thi'n,
Wo jo dariya pe gaya khoob hi dariya chamka..

Yoon to har raat chamakte hain sitaare lekin,
Wasl ki raat bahut subah ka taara chamka..

Hijr panpa na tera wasl humein raas aaya,
Kisi maidaan mein taara na humara chamka..

Jaise baarish se dhule sehn-e-gulistaan 'Amjad',
Aankh jab khushk hui aur bhi chehra chamka..!!

"Amjad Islam Amjad"

Kahaan Aa Ke Rukne The Raaste

Kahaan aa ke rukne the raaste, kahaan mod tha use bhool ja,
Wo jo mil gaya use yaad rakh, jo nahin mila use bhool ja..

Wo tere naseeb ki baarishein kisi aur chhat pe baras gayin,
Dil-e-be'khabar meri baat sun, use bhul ja use bhool ja..

Main to gum tha tere hi dhyaan mein, teri aas tere gumaan mein,
Saba kah gayi mere kaan mein, mere saath aa, use bhool ja..

Kisi aankh mein nahin ashk-e-ghum, tere baad kuchh bhi nahin hai kam,
Tujhe zindagi ne bhula diya, tu bhi muskura, use bhool ja..

Kahin chaak-e-jaan ka rafu nahin, kisi aasteen pe lahu nahin,
Ke shaheed-e-raah-e-malaal ka nahin Khoon-baha, use bhool ja..

Kyun ata hua hai ghubar mein, ghum-e-zindagi ke fishaar mein,
Wo jo dard tha tere bakht mein, so wo ho gaya, use bhool ja..

Tujhe chaand ban ke mila tha jo, tere saahilon pe khila tha jo,
Oo tha ek dariya wisaal ka, so utar gaya use bhool ja.!!

"Amjad Islam Amjad"

Kisi Ki Aankh Mein Khud Ko Talaash Karna Hai

Kisi ki aankh mein khud ko talaash karna hai,
Phir us ke baad humein aainon se darna hai,

Falak ki band gali ke faqeer hain taare!
Ke ghoom phir ke yahin se unhein guzarna hai,

Jo zindagi thi meri jaan tere saath gayi,
Bas ab to umr ke naqshe mein waqt bharna hai,

Ko tum chalo to abhi do qadam mein kat jaaye,
Jo faasla mujhe sadiyon mein paar karna hai,

To kyun na aaj yahin par qayaam ho jaaye,
Ke shab qareeb hai aakhir kahin theharna hai,

Wo mera sail-e-talab ho ki teri ra'anaai,
Chadha hai jo bhi samandar use utarna hai,

Sahar hui to sitaaron ne moond li aankhein,
Wo kya karein ki jinhein intezaar karna hai,

Ye khwab hai ke haqeeqat khabar nahin 'Amjad',
Magar hai jeena yahin par yahin pe marna hai.!!

"Amjad Islam Amjad"

Khel Us Ne Dikha Ke Jadu Ke

Khel us ne dikha ke jadu ke,
Meri sochon ke qaafile loote,

Ya to dhadkan hi band ho jaaye,
Ya ye khamoshi-e-faza toote,

Tum jahaan bhi ho mere dil mein ho,
Tum mere paas the to har-suu the,

Naghma-e-gul ki baas aati hai,
Taar kis ne hilaaye khushbu ke,

Us ko laayein to ek baat bhi hai,
Warna sab dost aashna jhoothe,

Nakhl-e-ummeed sabz hai 'Amjad',
Laakh jhakkad chala kiye luu ke,

"Amjad Islam Amjad"
___
Nakhl-e-ummeed = tree of hope,
Jhakkad = wind storm,

Lahu Mein Tairte Phirte Malaal Se Kuchh Hain

Lahu mein tairte phirte malaal se kuchh hain,
Kabhi suno to dilon mein sawaal se kuchh hain,

Main khud bhi doob raha hun har ek sitaare mein,
Ke ye charagh mere hasb-e-haal se kuchh hain,

Ghum-e-firaaq se ek pal nazar nahin hat'ti,
Is aaine mein tere khadd-o-khaal se kuchh hain,

Ek aur mauj ki ai sail-e-ishtibaah abhi,
Humari kasht-e-yaqeen mein khyaal se kuchh hain,

Tere firaaq ki sadiyaan tere wisaal ke pal,
Shumaar-e-umr mein ye maah o saal se kuchh hain.!!

"Amjad Islam Amjad"
___
Hasb-e-haal = as the circumstances demand, as exigency may require,
Khadd-o-khaal = features, shape, physique,
Sail-e-ishtibaah = torrent of suspicion/ambiguity,

Nikal Ke Halqa-e-shaam-o-sahar Se Jaayein Kahin

Nikal ke halqa-e-shaam-o-sahar se jaayein kahin,
Zameen ke saath na mil jaayein ye khalaayein kahin,

Safar ki raat hai pichhli kahaniyaan na kaho,
Ruton ke saath palat'ti hain kab hawaayein kahin,

Faza mein tairte rahte hain naqsh se kya kya,
Mujhe talaash na karti hon ye balaayein kahin,

Hawa hai tez charagh-e-wafa ka zikr to kya,
Tanaabein khema-e-jaan ki na toot jaayein kahin,

Main os ban ke gul-e-harf par chamakta hoon,
Nikalne waala hai sooraj mujhe chhupaaein kahin,

Mere wajood pe utri hain lafz ki soorat,
Bhatak rahi thin khalaaon mein ye sadaayein kahin,

Hawa ka lams hai paao'n mein bediyo'n ki tarah,
Shafaq ki aanch se aankhein pighal na jaayein kahin,

Ruka hua hai sitaaron ka karwaa'n 'Amjad',
Charaagh apne lahu se hi ab jalaayein kahin.!!

"Amjad Islam Amjad"

Na Aasmaan Se Na Dushman Ke Zor O Zar Se Hua

Na aasmaan se na dushman ke zor o zar se hua,
Ye Mo'ajaza to mere dast-e-be-hunar se hua,

Qadam utha hai to paao'n tale zameen hi nahin,
Safar ka ranj hamein khwahish-e-safar se hua,

Main bheeg bheeg gaya aarzu ki baarish mein,
Wo aks aks mein taqseem chashm-e-tar se hua,

Siyahi shab ki na chehron pe aa gai ho kahin,
Sahar ka khauf hamein aainon ke darr se hua,

Koi chale to zameen saath saath chalti hai,
Ye raaz hum pe ayaa'n gard-e-rahguzar se hua,

Tere badan ki mahak hi na thi to kya rukte,
Guzar humara kayi baar yoon to ghar se hua,

Kahaan pe soye the 'amjad' kahaan khuli'n aankhein,
Gumaa'n qafas ka hamein apne baam-o-dar se hua.!!

"Amjad Islam Amjad"

Raat Main Is Kashmakash Mein Ek Pal Soya Nahin

Raat main is kashmakash mein ek pal soya nahin,
Kal main jab jaane laga to us ne kyun roka nahin,

Yoon agar sochun to ek ek naqsh hai seene pe naqsh,
Haaye wo chehra ke phir bhi aankh mein banta nahin,

Kyun udaati phir rahi hai dar-ba-dar mujh ko hawa,
Main agar ek shaakh se toota hua patta nahin,

Aaj tanha hoon to kitna ajnabi mahaul hai,
Ek bhi raste ne tere shahr mein roka nahin,

Harf barg-e-khushk ban kar toot'te girte rahe,
Ghuncha-e-arz-e-tamanna honth par phoota nahin,

Dard ka rasta hai ya hai sa'at-e-roz-e-hisaab,
Saikado'n logon ko roka ek bhi thehra nahin,

Shabnami aankhon ke jugnu kaanpte honthon ke phool,
Ek lamha tha jo 'Amjad' aaj tak guzra nahin.!!

"Amjad Islam Amjad"

Tash'heer Apne Dard Ki Har Su Karaaiye

Tash'heer apne dard ki har su karaaiye,
Ji chahta hai minnat-e-tiflaa'n uthaaiye...

Khushbu ka haath thaam ke kijiye talaash-e-rang,
Paao'n ke naqsh dekh ke rasta banaaiye...

Phir aaj pattharo'n se mulaqaat kijiye,
Phir aaj satah-e-aab pe chehre banaaiye...

Har inkishaaf dard ke parde mein aayega,
Gar ho sake to Khud se bhi Khud ko chhupaaiye,

Phoolon ka raasta nahin yaaro mera safar,
Paao'n azeez hain to abhi laut jaaiye... 

Kab tak hina ke naam pe dete rahein lahu,
Kab tak nigaar-e-dard ko dulhan banaaiye...

'Amjad' mata-e-umr zara dekh-bhaal ke,
Aisa na ho ki baad mein aansu bahaaiye.!!

"Amjad Islam Amjad"
___
Tash'heer = publicity,
Minnat-e-tiflaa'n = childish request,
Satah-e-aab = surface of water,
Inkishaaf = disclosure, exposition,

Marte Hue Wajood Ki Hasrat Tamaam Shud

Marte Hue Wajood Ki Hasrat Tamaam Shud,
Saanson Se Lipti Aakhiri Chahat Tamaam Shud,

Dast-e-Qaza Badha Hai Meri Samt, Alwida,
Ai Etekaaf-e-Ishq Ibaadat Tamaam Shud..!!

Yaad Ke Sahra Mein Kuchh To Zindagi Aaye Nazar

Yaad ke sahra mein kuchh to zindagi aaye nazar,
Sochta hoon ab bana loon ret se hi koi ghar...

Kis qadar yaadein ubhar aai hain tere naam se,
Ek patthar phenkne se pad gaye kitne bhanwar...

Waqt ke andhe kuen mein pal rahi hai zindagi,
Ai mere husn-e-takhayyul baam se neeche utar...

Tu aseer-e-abru-e-shewa-e-pindaar-e-husn,
Main giraftaar-e-nigaah-e-zindagi-e-mukhtasar...

Zabt ke qarye mein 'Amjad' dekhiye kaise kate,
Soch ki sooni sadak par yaad ka lamba safar..!!

"Amjad Islam Amjad"
___
Husn-e-takhayyul = beauty of imagination,
Qarye = villages,

Zindagi Dard Bhi Dawa Bhi Thi

Zindagi dard bhi dawa bhi thi,
Hum-safar bhi gurez-pa bhi thi,

Kuchh to the dost bhi wafa-dushman,
Kuchh meri aankh mein haya bhi thi,

Din ka apna bhi shor tha lekin,
Shab ki aawaz be-sada bhi thi,

Ishq ne hum ko ghaib-daa'n kiya,
Yahi tohfa yahi saza bhi thi,

Gard-baad-e-wafa se pahle tak,
Sar pe khema bhi tha rida bhi thi,

Maa ki aankhein charagh thin jis mein,
Mere hum-raah wo dua bhi thi,

Kuchh to thi rahguzar mein sham-e-talab
Aur kuchh tez wo hawa bhi thi,

Bewafa to wo khair tha 'Amjad',
Lekin us mein kahin wafa bhi thi.!!

"Amjad Islam Amjad"

Ye Jo Haasil Hamein Har Shai Ki Farawaani Hai

Ye jo haasil hamein har shai ki farawaani hai,
Ye bhi to apni jagah ek pareshaani hai...

Zindagi ka hi nahin thhor-thhikana maloom,
Maut to tay hai ke kis waqt kahaan aani hai...

Koi karta hi nahin zikr wafadaari ka,
In dinon ishq mein aasaani hi aasaani hai...

Kab ye socha tha kabhi dost ke yoon bhi hoga,
Teri soorat teri aawaz se pahchaani hai...

Chain lene hi nahin deti kisi pal mujh ko,
Roz-e-awwal se mere saath jo hairaani hai...

Ye bhi mumkin hai ki aabaadi ho is se aage,
Ye jo ta-hadd-e-nazar phailti viraani hai...

Kyun sitaare hain kahin aur kahin aansu hain,
Aankh waalon ne yahi ramz nahin jaani hai...

Takht se takhta bahut door nahin hota hai,
Bas yahi baat hamein aap ko batlaani hai...

Dost ki bazm hi wo bazm hai 'Amjad' ke jahaan,
Aql ko saath mein rakhna badi nadaani haI.!!

"Amjad Islam Amjad"

Ye Aur Baat Hai Tujh Se Gila Nahin Karte

Ye aur baat hai tujh se gila nahin karte,
Jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte...

Hazaar jaal liye ghoomti phire duniya,
Tere aseer kisi ke hua nahin karte...

Ye aaino'n ki tarah dekh-bhaal chaahte hain,
Ke dil bhi tootein to phir se jurha nahin karte...

Wafa ki aanch sukhan ka tapaak do in ko,
Dilo'n ke chaak rafu se sila nahin karte...

Jahaan ho pyaar ghalat-fahmiya'n bhi hoti hain,
So baat baat pe yoon dil bura nahin karte...

Humein humaari anaa'ein tabaah kar dengi,
Mukaalme ka agar silsila nahin karte...

Jo hum pe guzri hai jaanaa wo tum pe bhi guzre,
Jo dil bhi chaahe to aisi dua nahin karte...

Har ek dua ke muqaddar mein kab huzoori hai,
Tamaam ghunche to 'Amjad' khila nahin karte..!!

"Amjad Islam Amjad"

Tere Karam Ki Baat Hai

Tere Karam Ki Baat Hai Doobe Ke Paar Ho, 
Kashti To Aaj Maine Samandar Mein Daal Di.!! 

Sunday, January 7, 2018

Dil Gaya Tum Ne Liya Hum Kya Karein

Dil gaya tum ne liya hum kya karein,
Jaane waali cheez ka ghum kya karein,

Hum ne mar kar hijr mein paai shifa,
Aise achchhon ka wo maatam kya karein,

Apne hi ghum se nahin milti najaat,
Is bina par fikr-e-aalam kya karein,

Ek saaghar par hai apni zindagi,
Rafta rafta is se bhi kam kya karein,

Kar chuke sab apni apni hikmatein,
Dam nikalta ho to hamdam kya karein,

Dil ne seekha shewa-e-begaanagi,
Aise na-mahram ko mahram kya karein,

Ma'arka hai aaj husn o ishq ka,
Dekhiye wo kya karein hum kya karein,

Aaina hai aur wo hain dekhiye,
Faisla dono'n ye baaham kya karein,

Aadmi hona bahut dushwaar hai,
Phir farishte hirs-e-aadam kya karein,

Tund-khuu hai kab sune wo dil ki baat,
Aur bhi barham ko barham kya karein,

Hyderabad aur langar yaad hai,
Ab ke dilli mein moharram kya karein,

Kahte hain ahl-e-sifaarish mujh se 'Dagh',
Teri qismat hai buri hum kya karein.!!

"Dagh Dehlvi"
_____________

Bina = foundation, basis, cause, without
बुनियाद,
Hikmatein = wisdoms, effects,
Shewa-e-begaanagi = habit of alienating/neglecting/ignoring,
Ma'arka = place or scene of battle or fight; field of battle; battle-ground; an ampitheatre (for gladiators or prize-fighters, strife, fight)
fight, strife,
Hirs-e-aadam = greed of Adam,
Tund-khuu = furious, fretful, passionate
तेज़-मिज़ाज,
____________________

دل گیا تم نے لیا ہم کیا کریں
جانے والی چیز کا غم کیا کریں..

ہم نے مر کر ہجر میں پائی شفا
ایسے اچھوں کا وہ ماتم کیا کریں..

اپنے ہی غم سے نہیں ملتی نجات
اس بنا پر فکر عالم کیا کریں..

ایک ساغر پر ہے اپنی زندگی
رفتہ رفتہ اس سے بھی کم کیا کریں..

کر چکے سب اپنی اپنی حکمتیں
دم نکلتا ہو تو ہمدم کیا کریں..

دل نے سیکھا شیوۂ بیگانگی
ایسے نامحرم کو محرم کیا کریں..

معرکہ ہے آج حسن و عشق کا
دیکھیے وہ کیا کریں ہم کیا کریں..

آئینہ ہے اور وہ ہیں دیکھیے
فیصلہ دونوں یہ باہم کیا کریں..

آدمی ہونا بہت دشوار ہے
پھر فرشتے حرص آدم کیا کریں..

تند خو ہے کب سنے وہ دل کی بات
اور بھی برہم کو برہم کیا کریں.. 

حیدرآباد اور لنگر یاد ہے
اب کے دلی میں محرم کیا کریں..

کہتے ہیں اہل سفارش مجھ سے داغؔ
تیری قسمت ہے بری ہم کیا کریں..

Dil Chura Kar Nazar Churaai Hai

Dil chura kar nazar churaai hai,
Lut gaye lut gaye duhaai hai,

Ek din mil ke phir nahin milte,
Kis qayamat ki ye judaai hai,

Ai asar kar na intezaar-e-dua,
Maangna sakht be-hayaai hai,

Main yahaan hun wahaan hai dil mera,
Na-rasaai ajab rasaai hai,

Is tarah ahl-e-naaz naaz karein,
Bandagi hai ke ye khudaai hai,

Paani pi pi ke tauba karta hoon,
Paarsaai si paarsaai hai,

Waada karne ka ikhtiyaar raha,
Baat karne mein kya buraai hai,

Kab nikalta hai ab jigar se teer,
Ye bhi kya teri aashnaai hai,

'Dagh' un se dimaagh karte hain,
Nahin maloom kya samaai hai..!!

"Dagh Dehlvi"

دل چرا کر نظر چرائی ہے
لٹ گئے لٹ گئے دہائی ہے..

ایک دن مل کے پھر نہیں ملتے
کس قیامت کی یہ جدائی ہے..

اے اثر کر نہ انتظار دعا
مانگنا سخت بے حیائی ہے..

میں یہاں ہوں وہاں ہے دل میرا
نارسائی عجب رسائی ہے..

اس طرح اہل ناز ناز کریں
بندگی ہے کہ یہ خدائی ہے..

پانی پی پی کے توبہ کرتا ہوں
پارسائی سی پارسائی ہے..

وعدہ کرنے کا اختیار رہا
بات کرنے میں کیا برائی ہے..

کب نکلتا ہے اب جگر سے تیر
یہ بھی کیا تیری آشنائی ہے..

داغؔ ان سے دماغ کرتے ہیں
نہیں معلوم کیا سمائی ہے..

Bhala Ho Peer-e-mughaa'n Ka Idhar Nigaah Mile

Bhala ho peer-e-mughaa'n ka idhar nigaah mile,
Faqeer hain koi chullu khuda ki raah mile,

Kahaan the raat ko hum se zara nigaah mile,
Talaash mein ho ke jhutha koi gawaah mile,

Qareeb-e-may-kada mujh ko jo khanqaah mile,
Gale sawaab ke kya kya mere gunaah mile,

Wo roz-e-hashr hai duniya nahin ke raah mile,
Kahaan chhupoge jo do chaar daad-khwaah mile,

Meri kharaabi mein aa kar wo chaukdi bhoole,
Ke phir na khana-kharaabi ko ghar ki raah mile,

Tera dil aaye kisi par to arsh hil jaaye,
Asar talaash mein hai is tarah ki aah mile,

Tumhaare kooche mein har roz wo qayamat hai,
Ke saya dhundh raha hai kahin panaah mile,

Tera ghuroor samaaya hai is qadar dil mein,
Nigaah bhi na milaaun jo baadshah mile,

Sar-barahna majnu'n pe aashiyaan hai taaj,
Na rakkhe sar pe jo faghfoor ki kulaah mile,

Falak ki tarah jafaa'ein na kijiye har roz,
Isi qadar hai ye ne'amat jo gaah gaah mile,

Tumhaare husn se kya rutba maah-e-kan'aan ko,
Wahi to chaand jise doobne ko chaah mile,

Sab ahl-e-hashr jab apne kiye ko paayenge,
Bada maza ho jo mujh ko mera gunaah mile,

Karun main arz agar jaan ki amaan paaun,
Kahun pate ki agar qahr se panaah mile,

Ye hai maze ki ladaai ye hai maze ka milaap,
Ke tujh se aankh ladi aur phir nigaah mile,

Hua hai dard-e-jigar se ye ghar mera taareek,
Ke maut dhundhti phirti hai koi raah mile,

Na us ko sabr na taaseer ka pata ya rab,
Jala diya hai mujhe khaak mein ye aah mile,

Bala se daawa-e-ulfat na pesh karte hum,
Mile hue hain jo dushman se wo gawaah mile,

Thehar na aah meri jaan le ke chalte ho,
Safar kare jo musaafir ko zaad-e-raah mile,

Masal suni hai ke milne se koi milta hai,
Milo to aankh mile dil mile nigaah mile,

Qamar ko jaama-e-shab to basar ko parda-e-chashm,
Kai libaas tere noor ko siyaah mile,

Asar kahaan se mile jab ye phoot ho baaham,
Alag alag rahe dono'n na harf-e-aah mile,

Laga ke paao'n mein us ke udaaun qaasid ko,
Agar mujhe tere tausan ki gard-e-raah mile,

Is inqalaab mein dhundho jo mushk aur kafoor,
To ye safed mile aur wo siyaah mile,

Nawed-e-bakhshish-e-isyaa'n use suna dena,
Jo sharmsaar kahin 'Dagh'-e-ru-siyaah mile.!!

"Dagh Dehlvi"
_____________

Peer-e-mughaa'n = a tavern keeper, chief of fire, worshippers
मदिरालय का बूढ़ा प्रबंधक,
Khanqaah = monastery, religious place for holy men
फ़क़ीरों-साधाओं के रहने का स्थान, आश्रम,
Daad-khwaah = a petitioner, a complainant,
Sar-barahna = bare headed, one who is dist-ressed,
Faghfoor = forgiver,
Kulaah = cap, hat, bonnet, crown,
Maah-e-kan'aan = moon of city Kanaan,
Ahl-e-hashr = those of the doomsday,
Amaan = refuge, protection
सुरक्षा, पनाह, निर्भरता, हिफ़ाज़त,
Taareek = dark, obscure, 
Zaad-e-raah = provisions for a journey,
Masal = like, for example
proverbial,
Jaama-e-shab = apparel of night,
Parda-e-chashm = veil of the eye,
Tausan = war-horse, unmanageable horse,
Inqalaab = revolution,
Mushk = musk, scent stored in deer's navel,
Kafoor = camphor, vanish, disappear,
Nawed-e-bakhshish-e-isyaa'n = good news of forgiveness of sin,
____________________

بھلا ہو پیر مغاں کا ادھر نگاہ ملے
فقیر ہیں کوئی چلو خدا کی راہ ملے..

کہاں تھے رات کو ہم سے ذرا نگاہ ملے
تلاش میں ہو کہ جھوٹا کوئی گواہ ملے..

قریب مے کدہ مجھ کو جو خانقاہ ملے
گلے ثواب کے کیا کیا مرے گناہ ملے..

وہ روز حشر ہے دنیا نہیں کہ راہ ملے
کہاں چھپوگے جو دو چار داد خواہ ملے..

مری خرابی میں آ کر وہ چوکڑی بھولے
کہ پھر نہ خانہ خرابی کو گھر کی راہ ملے..

ترا دل آئے کسی پر تو عرش ہل جائے
اثر تلاش میں ہے اس طرح کی آہ ملے..

تمہارے کوچے میں ہر روز وہ قیامت ہے
کہ سایہ ڈھونڈ رہا ہے کہیں پناہ ملے..

ترا غرور سمایا ہے اس قدر دل میں
نگاہ بھی نہ ملاؤں جو بادشاہ ملے..

سر برہنہ مجنوں پہ آشیاں ہے تاج
نہ رکھے سر پہ جو فغفور کی کلاہ ملے..

فلک کی طرح جفائیں نہ کیجیے ہر روز
اسی قدر ہے یہ نعمت جو گاہ گاہ ملے..

تمہارے حسن سے کیا رتبہ ماہ کنعاں کو
وہی تو چاند جسے ڈوبنے کو چاہ ملے..

سب اہل حشر جب اپنے کئے کو پائیں گے
بڑا مزا ہو جو مجھ کو مرا گناہ ملے..

کروں میں عرض اگر جان کی اماں پاؤں
کہوں پتے کی اگر قہر سے پناہ ملے..

یہ ہے مزے کی لڑائی یہ ہے مزے کا ملاپ
کہ تجھ سے آنکھ لڑی اور پھر نگاہ ملے..

ہوا ہے درد جگر سے یہ گھر مرا تاریک
کہ موت ڈھونڈتی پھرتی ہے کوئی راہ ملے.. 

نہ اس کو صبر نہ تاثیر کا پتا یا رب
جلا دیا ہے مجھے خاک میں یہ آہ ملے..

بلا سے دعوئ الفت نہ پیش کرتے ہم
ملے ہوئے ہیں جو دشمن سے وہ گواہ ملے..

ٹھہر نہ آہ مری جان لے کے چلتے ہو
سفر کرے جو مسافر کو زاد راہ ملے..

مثل سنی ہے کہ ملنے سے کوئی ملتا ہے
ملو تو آنکھ ملے دل ملے نگاہ ملے..

قمر کو جامہ شب تو بصر کو پردۂ چشم
کئی لباس ترے نور کو سیاہ ملے..

اثر کہاں سے ملے جب یہ پھوٹ ہو باہم
الگ الگ رہے دونوں نہ حرف آہ ملے..

لگا کے پاؤں میں اس کے اڑاؤں قاصد کو
اگر مجھے ترے توسن کی گرد راہ ملے.. 

اس انقلاب میں ڈھونڈو جو مشک اور کافور
تو یہ سفید ملے اور وہ سیاہ ملے..

نوید بخشش عصیاں اسے سنا دینا
جو شرمسار کہیں داغؔ رو سیاہ ملے..

Baaqi Jahaan Mein Qais Na Farhaad Rah Gaya

Baaqi jahaan mein qais na farhaad rah gaya,
Afsaana aashiqon ka faqat yaad rah gaya,

Ye sakht-jaan to qatl se nashaad rah gaya,
Khanjar chala to baazu-e-jallaad rah gaya,

Paabandiyo'n ne ishq ki bekas rakha mujhe,
Main sau aseeriyo'n mein bhi aazaad rah gaya,

Chashm-e-sanam ne yoon to bigaade hazaar ghar,
Ek kaaba chand roz ko aabaad rah gaya,

Mahshar mein jaa-e-shikwa kiya shukr yaar ka,
Jo bhoolna tha mujh ko wahi yaad rah gaya,

Un ki to ban padi ke lagi jaan muft haath,
Teri girah mein kya dil-e-nashaad rah gaya,

Pur-noor ho rahega ye zulmat-kada agar,
Dil mein buto'n ka shauq-e-khuda-daad rah gaya,

Yoon aankh un ki kar ke ishaara palat gai,
Goya ke lab se ho ke kuchh irshaad rah gaya,

Naaseh ka ji chala tha humaari tarah magar,
Ulfat ki dekh dekh ke uftaad rah gaya,

Hain tere dil mein sab ke thhikane bure bhale,
Main khanama'n-kharaab hi barbaad rah gaya,

Wo din gaye ke thi mere seene mein kuchh kharaash,
Ab dil kahaan hai dil ka nishaan yaad rah gaya,

Soorat ko teri dekh ke khinchti hai jaan-e-khalq,
Dil apna thaam thaam ke bahzad rah gaya,

Ai 'Dagh' dil hi dil mein ghule zabt-e-ishq se,
Afsos shauq-e-naala-o-fariyaad rah gaya.!!

"Dagh Dehlvi"
_____________

Sakht-jaan = callous,
Nashaad = cheerless, unhappy
ow-spirited, joyless,
Aseeriyo'n = imprisonments,
Jaa-e-shikwa = place of complain,
Zulmat-kada = a very dark place,
Shauq-e-khuda-daad = God-gifted passion, pursuit,
Uftaad = accident, distress, calamity, difficulties,
Khanama'n-kharaab = runied home,
Kharaash = bruise,
Jaan-e-khalq = life of public,
Bahzad = name of an ancient Irani artist,
Shauq-e-naala-o-fariyaad = habit of grief and appeal,
____________________



باقی جہاں میں قیس نہ فرہاد رہ گیا
افسانہ عاشقوں کا فقط یاد رہ گیا..

یہ سخت جاں تو قتل سے ناشاد رہ گیا
خنجر چلا تو بازوئے جلاد رہ گیا..

پابندیوں نے عشق کی بیکس رکھا مجھے
میں سو اسیریوں میں بھی آزاد رہ گیا..

چشم صنم نے یوں تو بگاڑے ہزار گھر
اک کعبہ چند روز کو آباد رہ گیا..

محشر میں جائے شکوہ کیا شکر یار کا
جو بھولنا تھا مجھ کو وہی یاد رہ گیا..

ان کی تو بن پڑی کہ لگی جان مفت ہاتھ
تیری گرہ میں کیا دل ناشاد رہ گیا..

پر نور ہو رہے گا یہ ظلمت کدہ اگر
دل میں بتوں کا شوق خداداد رہ گیا..

یوں آنکھ ان کی کر کے اشارہ پلٹ گئی
گویا کہ لب سے ہو کے کچھ ارشاد رہ گیا..

ناصح کا جی چلا تھا ہماری طرح مگر
الفت کی دیکھ دیکھ کے افتاد رہ گیا..

ہیں تیرے دل میں سب کے ٹھکانے برے بھلے
میں خانماں خراب ہی برباد رہ گیا..

وہ دن گئے کہ تھی مرے سینے میں کچھ خراش
اب دل کہاں ہے دل کا نشاں یاد رہ گیا..

صورت کو تیری دیکھ کے کھنچتی ہے جان خلق
دل اپنا تھام تھام کے بہزاد رہ گیا..

اے داغؔ دل ہی دل میں گھلے ضبط عشق سے
افسوس شوق نالہ و فریاد رہ گیا.. 

Abhi Humari Mohabbat Kisi Ko Kya Maloom

Abhi humari mohabbat kisi ko kya maloom,
Kisi ke dil ki haqeeqat kisi ko kya maloom,

Yaqeen to ye hai wo khat ka jawaab likkhenge,
Magar nawishta-e-qismat kisi ko kya maloom,

Ba-zaahir un ko haya-daar log samjhe hain,
Jaya mein jo hai sharaarat kisi ko kya maloom,

Qadam qadam pe tumhaare humare dil ki tarah,
Basi hui hai qayamat kisi ko kya maloom,

Ye ranj o aish hue hijr o wasl mein hum ko,
Kahaan hai dozakh o jannat kisi ko kya maloom,

Jo sakht baat sune dil to toot jaata hai,
Is aaine ki nazaakat kisi ko kya maloom,

Kiya karein wo sunane ko pyaar ki baatein,
Unhein hai mujh se adaawat kisi ko kya maloom,

Khuda kare na phanse daam-e-ishq mein koi,
Uthaai hai jo museebat kisi ko kya maloom,

Abhi to fitne hi barpa kiye hain aalam mein,
Uthaa'einge wo qayamat kisi ko kya maloom,

Janaab-e-'Dagh' ke mashrab ko hum se to poochho,
Chhupe hue hain ye hazrat kisi ko kya maloom.!!

"Dagh Dehlvi"
_____________

Nawishta-e-qismat = written in fate,
Mashrab = a reservoir of water,
____________________

ابھی ہماری محبت کسی کو کیا معلوم
کسی کے دل کی حقیقت کسی کو کیا معلوم..

یقیں تو یہ ہے وہ خط کا جواب لکھیں گے
مگر نوشتۂ قسمت کسی کو کیا معلوم..

بظاہر ان کو حیا دار لوگ سمجھے ہیں
حیا میں جو ہے شرارت کسی کو کیا معلوم..

قدم قدم پہ تمہارے ہمارے دل کی طرح
بسی ہوئی ہے قیامت کسی کو کیا معلوم..

یہ رنج و عیش ہوئے ہجر و وصل میں ہم کو
کہاں ہے دوزخ و جنت کسی کو کیا معلوم..

جو سخت بات سنے دل تو ٹوٹ جاتا ہے
اس آئینے کی نزاکت کسی کو کیا معلوم.. 

کیا کریں وہ سنانے کو پیار کی باتیں
انہیں ہے مجھ سے عداوت کسی کو کیا معلوم..

خدا کرے نہ پھنسے دام عشق میں کوئی
اٹھائی ہے جو مصیبت کسی کو کیا معلوم..

ابھی تو فتنے ہی برپا کئے ہیں عالم میں
اٹھائیں گے وہ قیامت کسی کو کیا معلوم..

جناب داغؔ کے مشرب کو ہم سے تو پوچھو
چھپے ہوئے ہیں یہ حضرت کسی کو کیا معلوم.. 

Saturday, January 6, 2018

Baab-e-rahmat Pe Dua Girya-kunaa'n Ho Jaise

Baab-e-rahmat pe dua girya-kunaa'n ho jaise
Gum-shuda bete ki muztar koi maa'n ho jaise,

Us ki mumtaz ki rudaad-e-mohabbat likh doon,
Aise kahta hai koi shah-jahaa'n ho jaise,

Guftugu mein wo halaawat wo amal mein ikhlaas,
Us ki hasti pe farishte ka gumaa'n ho jaise,

Us ki duzdeeda-nigaahi ke hain sab hi ghayal,
Koi sayyaad liye teer-o-kamaa'n ho jaise,

Mujh ko urdu-e-mualla nahin aati ab tak,
Tujh ko ye zu'am tere ghar ki zabaa'n ho jaise,

Hum ko rakhti hai nishaane pe siyasat un ki,
Ghar jalaane pe ba-zid barq-e-tapaa'n ho jaise,

Us ke aate hi sanam-khaano'n ke but bol uthe,
Mashriqo'n mein koi ejaaz-e-bayaa'n ho jaise,

Yoon teri zulf ki khushbu hai sar-e-shaam udi,
Kashti-e-fikr yam-e-fan mein rawaa'n ho jaise,

Tere ash'aar utar aate hain 'Daaim' dil mein,
Haq-parasto'n ke liye saut-e-azaa'n ho jaise.!!

"Daaim Gawwasi"
___
Baab-e-rahmat = gate of mercy,
Girya-kunaa'n = weeping, crying,
Muztar = distressed, agitated, restless,
Rudaad-e-mohabbat = tale of love, love story,
Halaawat = sweetness, relish deliciousness
मिठास,
Ikhlaas = sincerity, great affection,
Duzdeeda-nigaahi = avoiding/shifting glances,
Zu'am = arrogance/ conceit,
Barq-e-tapaa'n = hot lightning,
Ejaaz-e-bayaa'n = modesty; miracle of description; oratory,
Mashriqo'n = Easts,
Yam-e-fan = bounty, ocean of art,
Saut-e-azaa'n = call to prayers,

Aisa Bana Diya Tujhe Qudrat Khuda Ki Hai

Aisa bana diya tujhe qudrat khuda ki hai,
Kis husn ka hai husn ada kis ada ki hai,

Bhashm-e-siyaah-e-yaar se saazish haya ki hai,
Laila ke saath mein ye saheli bala ki hai,

Tasweer kyun dikhayein tumhein naam kyun batayein,
Laaye hain hum kahin se kisi bewafa ki hai,

Andaaz mujh se aur hain dushman se aur dhhang,
Pahchaan mujh ko apni paraai qaza ki hai,

Maghroor kyun hain aap jawaani par is qadar,
Ye mere naam ki hai ye meri dua ki hai,

Dushman ke ghar se chal ke dikha do juda juda,
Ye baankpan ki chaal ye naaz-o-ada ki hai,

Rah rah ke le rahi hai mere dil mein chutkiya'n,
Phisli hui girah tere band-e-qaba ki hai,

Gardan mudi nigaah ladi baat kuchh na ki,
Shokhi to khair aap ki tamkee'n bala ki hai,

Hoti hai roz baada-kasho'n ki dua qubool,
Ai mohtasib ye shaan-e-kareemi khuda ki hai,

Jitne gile the un ke wo sab dil se dhul gaye,
Jhepi hui nigaah talaafi jafa ki hai,

Chhupta hai khoon bhi kahin mutthi to kholiye,
Rangat yahi hina ki yahi bu hina ki hai,

Kah do ke be-wazu na chhuye us ko mohtasib,
Botal mein band rooh kisi paarsa ki hai,

Main imtihaan de ke unhein kyun na mar gaya,
Ab ghair se bhi un ko tamanna wafa ki hai,

Dekho to ja ke hazrat-e-'Bekhud' na hon kahin,
Daawat sharab-khaane mein ek paarsa ki hai.!!

"Bekhud Dehlvi"
___
Girah = a knot, a joint, a knuckle,
Band-e-qaba = knot of the tunic
knot in the tunic/apparel
कुर्ते की गाँठ,
Tamkee'n = majesty, dignity, authority, power,
Baada-kash = drinker, boozer,
Mohtasib = officer who supervises observance of laws and punishes offenders
हिसाब लेने वाला,
Talaafi = compensation, recompense, making amends, complaints,

Bewafa Kahne Se Kya Wo Bewafa Ho Jaaeyga

Bewafa kahne se kya wo bewafa ho jaaeyga,
Tere hote is sifat ka doosra ho jaayega,

Shart kar lo phir mujhe barbaad hona bhi qubool,
Khaak mein mil kar to haasil mudda'a ho jaayega,

Sar na hoga dosh par to kya na hogi guftugu,
Hichkiyo'n se shukr qaatil ka ada ho jaayega,

Seena toda dil mein chutki li jigar zakhmi kiya,
Kya khabar thi teer bhi teri ada ho jaayega,

Mere kahne mein hai dil jab tak mere pahlu mein hai,
Aap le lijiye ise ye aap ka ho jaayega,

Saath un ke jaan bhi armaan bhi jaayenge aaj,
Subah se pahle rawaana qaafila ho jaayega,

Main malu'n talwo'n se aankhein wo kahein samjhunga main,
Yaad rakh pheeka agar rang-e-hina ho jaayega,

Phir wahi jhagde ka jhagda hai agar qum kah diya,
Tegh ka mansukh saara faisla ho jaayega,

Kis khushi mein haaye kaisa ranj phaila kya karun,
Kya khabar thi hanste hanste wo khafa ho jaayega,

Hashr tak kyoon baat jaaye kyun pade ghairo'n ke munh,
Ghar mein samjhauta humara aap ka ho jaayega,

Aankh se hai wasl ka iqraar dil dugda mein hai,
Tum zabaan se apni kah doge to kya ho jaayega,

Zulm se gar zabeh bhi kar do mujhe parwaah nahin,
Lutf se darta hoon ye meri qaza ho jaayega,

Us ne chheda tha mujhe tum jaan doge kab humein,
Kah diya main ne bhi jab waada wafa ho jaayega,

Yoon sawaal-e-wasl par taala kiya barso'n koi,
Sabr kar muztar na ho tera kaha ho jaayega,

Laakh duniya mein haseen hon laakh hoorein khuld mein,
Mujh ko jo tu hai wo koi doosra ho jaayega,

Tauba bhi kar li thi ye bhi nasha ki thi ek tarang,
Aap samjhe the ke 'Bekhud' paarsa ho jaaeyga.!!

"Bekhud Dehlvi"

De Mohabbat To Mohabbat Mein Asar Paida Kar

De mohabbat to mohabbat mein asar paida kar,
Jo idhar dil mein hai ya rab wo udhar paida kar,

Dood-e-dil ishq mein itna to asar paida kar,
Sar kate shama ki maanind to sar paida kar,

Phir humara dil-e-gum-gashta bhi mil jaayega,
Pahle tu apna dahan apni kamar paida kar,

Kaam lene hain mohabbat mein bahut se ya rab,
Aur dil de humein ek aur jigar paida kar,

Tham zara ai adam-aabaad ke jaane waale,
Rah ke duniya mein abhi zaad-e-safar paida kar,

Jhoot jab bolte hain wo to duaa hoti hai,
Ya ilaahi meri baaton mein asar paida kar,

Aaina dekhna is husn pe aasaan nahin,
Peshtar aankh meri, meri nazar paida kar,

Subah-e-furqat to qayamat ki sahar hai ya rab,
Apne bandon ke liye aur sahar paida kar,

Mujh ko rota hua dekhein to jhulas jaayein raqeeb,
Aag paani mein bhi ai soz-e-jigar paida kar,

Mit ke bhi doori-e-gulshan nahin bhaati ya rab,
Apni qudrat se meri khaak mein par paida kar,

Shikwa-e-dard-e-judaai pe wo farmaate hain,
Ranj sahne ko humara sa jigar paida kar,

Din nikalne ko hai raahat se guzar jaane de,
Rooth kar tu na qayamat ki sahar paida kar,

Hum ne dekha hai ki mil jaate hain ladne waale,
Sulah ki khu bhi to ai baani-e-shar paida kar,

Mujh se ghar aane ke waade par bigad kar bole,
Kah diya ghair ke dil mein abhi ghar paida kar,

Mujh se kahti hai kadak kar ye kamaa'n qaatil ki,
Teer ban jaaye nishana wo jigar paida kar,

Kya qayamat mein bhi parda na uthega rukh se,
Ab to meri shab-e-yalda ki sahar paida kar,

Dekhna khel nahin jalwa-e-deedar tera,
Pahle moosa sa koi ahl-e-nazar paida kar,

Dil mein bhi milta hai wo kaba bhi us ka hai maqaam,
Raah nazdik ki ai azm-e-safar paida kar,

Zof ka hukm ye hai honth na hilne paayein,
Dil ye kahta hai ki naale mein asar paida kar,

Naale 'Bekhud' ke qayamat hain tujhe yaad rahe,
Zulm karna hai to patthar ka jigar paida kar..!!

"Bekhud Dehlvi l"
___
Dood-e-dil = A sigh (met.),
Dil-e-gum-gashta = lost heart,
Dahan = mouth
मुख, मुँह,
Zaad-e-safar = provisions for journey,
Sahar = morning,
Soz-e-jigar = burning of heart,
Khu = habit, custom, disposition, behaviour,
Baani-e-shar = founder of evil
झगड़े की जड़, झगड़ा करने वाला,
Shab-e-yalda = longest night of winter,
Azm-e-safar = determination to travel,
Zof = weak, feeble,

Dil Hai Mushtaaq Juda Aankh Talabgaar Juda

Dil hai mushtaaq juda aankh talabgaar juda,
Khwahish-e-wasl juda hasrat-e-deedaar juda,

Zahido'n se na bani hashr ke din bhi ya-rab,
Wo khade hain teri rahmat ke talabgaar juda,

Ji jalaane ko sataane ko mitaane ko mujhe,
Wo juda ghair juda charkh-e-sitamgar juda,

Bijliya'n hazrat-e-moosa pe giri'n do ek baar,
Shola-e-shauq juda shola-e-deedaar juda,

Ho gaye wo sahar-e-wasl ye kah kar rukhsat,
Tujh se karta hai mujhe charkh-e-sitamgar juda,

Qatl karte hi mujhe jalwa-numaai bhi hui,
Dar pe hangama alag hai pas-e-deewaar juda,

Zahido'n ki teri rahmat pe chadhaai hai alag,
Toliya'n baandh kar aaye hain gunahgaar juda,

Waz'a ka pas bhi hai 'Bekhud'-e-may-khwaar zaroor,
Kaag botal se na kijiye sar-e-bazaar juda.!!

"Bekhud Dehlvi"
___
Mushtaaq = desirous/ eager
इच्छुक,
Charkh-e-sitamgar = tyrant sky,
Shola-e-shauq = flame of love,
Shola-e-deedaar = flame of sight,
Jalwa-numaai = manifestation,
Pas-e-deewaar = behind the wall,
Waz'a = manner/ state/ style
तौर-तरीक़ा,
Paas = regards, supervision, sustenance, up bringing,
Kaag = cork,

Ai Khaaliq-e-kaunain Ye Tu Ne Bhi Suna Hai

Ai Khaaliq-e-kaunain Ye Tu Ne Bhi Suna Hai,
Duniya Ka Gumaa'n Hai K Ghareebo'n Ka Khuda Hai...

Tu Jin Ka Khuda Un Ka Ho Gardish Mein Sitaara,
Kya Tere Karam Ko Ye Sitam Bhi Hai Gawaara...

Ahsaas Kabhi Dil Se Juda Ho Nahi Sakta,
Insaan To Insaan Hai Khuda Ho Nahi Sakta.!!

Gharqaab Kar Diya Tha Humein Nakhudao'n Ne

Gharqaab Kar Diya Tha Humein Nakhudao'n Ne,
Wo To Kaho K Ek Humara Khuda Bhi Hai.!!

"Iqbal Ajeem"

Achcha Yaqee'n Nahi Hai To Kashti Dubaa Ke Dekh

Achcha Yaqee'n Nahi Hai To Kashti Dubaa Ke Dekh,
Ek Tu Hi Nakhuda Nahi, Jaalim,  Khuda Bhi Hai.!!

"Qateel Shifai"

Dono'n Hi Ki Jaanib Se Ho Gar Ahd-e-wafa Ho

Dono'n hi ki jaanib se ho gar ahd-e-wafa ho,
Chahat ka maza jab hai ke tum bhi mujhe chaho,

Ye hum nahin kahte hain ke dushman ko na chaho,
Is chaah ka anjaam magar dekhiye kya ho,

Shamsheer se badh kar hain haseeno'n ki adaa'ein,
Be-maut kiya qatl un achchho'n ka bura ho,

Ma'ashooq tarah-daar ho andaaz ho achchha,
Dil aaye na aise pe to phir dil ka bura ho,

Poora koi hota nazar aata nahin armaan,
Un ko to ye zid hai ki humara hi kaha ho,

Tum mujh ko pilaate to ho may seena pe chadh kar,
Us waqt agar koi chala aaye to kya ho,

Waada wo tumhaara hai ki lab tak nahin aata,
Matlab ye humara hai ki baaton mein ada ho,

Khanjar ki zaroorat hai na shamsheer ki haajat,
Tirchhi si nazar ho koi baanki si ada ho,

Khaali to na jaayein dam-e-rukhsat mere naale,
Fitna koi utthe jo qayamat na bapa ho,

Chori ki to kuchh baat nahin mujh ko bata do,
Mera dil-e-betaab agar tum ne liya ho,

Un se dam-e-raftaar ye kahti hai qayamat,
Fitne se na khaali koi naqsh-e-kaf-e-pa ho,

Bad-zan hain wo is tarah ki surma use samjhein, 
Beemar ki aankhon mein agar neel dhhala ho,

Khat khol ke padhte hue darta hun kisi ka,
Lipti hui khat mein na kahin meri qaza ho,

Marna hai usi ka jo tujhe dekh ke mar jaaye,
Jeena hai usi ka jo mohabbat mein jiya ho,

Hai dil ki jagah seene mein kaawish abhi baaqi,
Paikaa'n koi pahlu mein mere rah na gaya ho,

Mujh ko bhi kahin aur se aaya hai bulaawa,
Achchha hai chalo aaj bhi waada na wafa ho,

'Bekhud' ka fasaana to hai mashhoor-e-zamaana,
Ye zikr to shayad kabhi tum ne bhi suna ho.!!

"Bekhud Dehlvi"
___
Tarah-daar = beautiful, graceful, elegant, handsome,
Naqsh-e-kaf-e-paa = footprints
पैर के तलवे का निशान,
Bad-zan = to fall from favour,
Kaawish = effort/ endeavour,
Paikaa'n = the tip of an arrow
तीर की नोक,

Har Ek Baat Teri Be-sabaat Kitni Hai

Har ek baat teri be-sabaat kitni hai,
Palatna baat ko dam bhar mein baat kitni hai,

Abhi to shaam hui hai abhi to aaye ho,
Abhi se poochh rahe ho ki raat kitni hai,

Wo sunte sunte jo ghabraye haal-e-dil bole,
Bayaan kitni hui waardaat kitni hai,

Tere shaheed ko dulha bana hua dekha,
Rawaan janaaze ke peechhe baraat kitni hai,

Kisi tarah nahin kat'ti nahin guzar chukti,
Ilaahi sakht ye qaid-e-hayaat kitni hai,

Humaari jaan hai qeemat to dil hai bai'aana,
Giraa'n-baha lab-e-naazuk ki baat kitni hai,

Jo shab ko khilte hain ghunche wo din ko jhadte hain,
Bahaar-e-baagh-e-jahaan be-sabaat kitni hai,

Maheeno'n ho gaye dekhi nahin hai subah-e-ummeed,
Kise khabar ye museebat ki raat kitni hai,

Udu ke saamne ye dekhna hai hum ko bhi,
Kidhar ko hai nigaah-e-iltifaat kitni hai,

Ghazal likhein bhi to kya khaak hum likhein 'Bekhud',
Zameen dekhiye ye waahiyaat kitni hai.!!

"Bekhud Dehlvi"
___
Be-sabaat = Momentary
अस्थायी,
Giraa'n-baha = costly,
Nigaah-e-iltifaat = glance of love,
Waahiyaat = Absurd, Irrational,

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...