Tamaam umr ki tanhaai ki saza de kar...
Tadap utha mera munsif bhi faisla de kar...
Main ab marun ki jiyun mujh ko ye khushi hai bahut...
Use sukoon to mila mujh ko bad-dua de kar...
Main us ke waaste sooraj talaash karta hoon...
Jo so gaya meri aankhon ko rat-jaga de kar...
Wo raat raat ka mehman to umr bhar ke liye...
Chala gaya mujhe yaadon ka silsila de kar...
Jo waa kiya bhi dareecha to aaj mausam ne..
Pahaad dhhaanp diya abr ki rida de kar...
Kati hui hai zameen koh se samandar tak...
Mila hai ghaao ye dariya ko raasta de kar...
Chatakh chatakh ke jali shaakh shaakh jangal ki...
Bahut sharaar mila aag ko hawa de kar...
Phir is ke baad pahaad us ko khud pukarenge...
Tu laut aa use waadi mein ek sada de kar...
Sutoon-e-reg na thahra 'Adeem' chhat ke tale...
Main dhhah gaya hoon khud apne ko aasra de kar.!!
"Adeem Hashmi"
___
Waa = to open/ to tell
open, again, expression of pain, expose
खुला,
Abr = cloud,
Rida = cloak put on by women when going out,
Sharaar = sparks,
Sutoon-e-reg = pillar of sand,
No comments:
Post a Comment