Tujh se bichhda to kidhar jaun ga
Main to bechaini se mar jaaunga...
Main to aisay nahi jane wala
Chand doobey ga to ghar jaaunga...
Motiyon se bhara bartan hoon main
Toot jaaunga, bikher jaaunga...
Main to sehma huwa sanata hoon
Apni aawaaz se darr jaaunga...
Main agar koi samandar bhi hoon
Ek tere dard se bhar jaaunga...
Waqt ki rut se main farhat abbas
Kahin chup chaap utar jaaunga..!!
By: Farhat Abbas Shah
No comments:
Post a Comment