Wednesday, December 20, 2017

Bahaar Aayi Hai Phir Chaman Mein

Bahaar aayi hai phir chaman mein naseem ithla ke chal rahi hai...

Har ek ghuncha chatak raha hai gulon ki rangat badal rahi hai.!

Wo aa gaye lo wo ji utha main adoo ki ummeed-e-yaas thehri...

Ajab tamasha hai dil-lagi hai qaza khadi haath mal rahi hai.!

Bataao dil doon na doon kaho to ajeeb naazuk mu'aamla hai...

Idhar to dekho nazar milaao ye kis ki shokhi machal rahi hai.!

Tadap raha hoon yahaan main tanha wahaan adoo se wo hum-baghal hain...

Kisi ke dam par bani hui hai kisi ki hasrat nikal rahi hai.!

Ghata wo chhaayi wo abr uttha yahi to hai waqt may-kashi ka...

Bulaao 'Shaair' ko hai kahaan wo sharaab shishe se dhhal rahi hai..!!

"Agha Shaair Qazalbash"
___
Adoo = enemy, foe, rival,
Ummeed-e-yaas = hope of grief,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...