Tumhaare husn ki taskheer aam hoti hai,
Ke ek nigaah mein duniya tamaam hoti hai...
Jahaan pe jalwa-e-jaanaa hai anjuman-aara,
Wahaan nigaah ki manzil tamaam hoti hai...
Wahi khalish wahi sozish wahi tapish wahi dard,
Humein sahar bhi ba-andaaz-e-shaam hoti hai...
Nigaah-e-husn mubarak tujhe dar-andaazi,
Kabhi kabhi meri mahfil bhi aam hoti hai...
Zahe naseeb mein qurbaan apni qismat ke,
Tere liye meri duniya tamaam hoti hai...
Namaaz-e-ishq ka hai inhisaar ashkon tak,
Ye be-niyaaz-e-sujood-o-qayaam hoti hai...
Teri nigaah ke qurbaan teri nigaah ki tees,
Ye na-tamaam hi rah kar tamaam hoti hai...
Wahaan pe chal mujhe le kar mere samand-e-khyaal,
Jahaan nigaah ki masti haraam hoti hai...
Kisi ke zikr se 'Behzad' mubtala ab tak,
Jigar mein ek khalish-e-na'tamaam hoti hai..!!
"Behzad Lakhnawi"
No comments:
Post a Comment