Thursday, December 21, 2017

Un Ko But Samjha Tha Ya Un Ko Khuda Samjha Tha Main

Un ko but samjha tha ya un ko khuda samjha tha main...
Haan bata de ai jabeen-e-shauq kya samjha tha main.!

Allah allah kya inaayat kar gai mizraab-e-ishq...
Warna saaz-e-zindagi ko be'sada samjha tha main.!

Un se shikwa kyoon karun un se shikayat kya karun...
Khud badi mushkil se apna mudda'a samjha tha main.!

Meri haalat dekhiye mera tadapna dekhiye...
Aap ko is se gharaz kya hai ki kya samjha tha main.!

Khul gaya ye raaz un aankhon ke ashk-e-naaz se...
Kaifiyat-e-husn ko ghum se juda samjha tha main.!

Ai jabeen-e-shauq haan tujh ko badi zahmat hui...
Aaj har zarre ko un ka naqsh-e-pa samjha tha main.!

Ek nazar par munhasir thi zeest ki kul kaainaat...
Har nazar ko jaan jaan-e-mudda'a samjha tha main.!

Aa raha hai kyoon kisi ka naam honthon tak mere...
Ai dil-e-muztar tujhe sabr-aazma samjha tha main.!

Aap to har har qadam par ho rahe hain jalwa-gar...
Aap ko hadd-e-nazar se maawara samjha tha main.!

Ye fughaa'n ye shor ye naale ye shewan the fuzool...
Kya bataati thi mohabbat aur kya samjha tha main.!

Us nigaah-e-naaz ne 'Behzad' mujh ko kho diya
Jis nigaah-e-naaz ko apni dawa samjha tha main..!!

"Behzad Lakhnawi"
___
Dil-e-muztar = anxious/troubled/Impatient Heart,
Sabr-aazma = patience-testing,
Maawara = what is behind or beyond, besides, over and above,
Fughaa'n = clamour, lamentation, wail, cry of pain or distress
फ़रियाद,
Shewan = grief, lamentation, mourning,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...