Kuch der humare saath raho ,
Kuch apne rang bikharne do ,
Kuch apni khushboo bikhraoo ,
Aur shereen shabnumi lehje mein ,
Koi naram mulaaim baat karo ,
Jis lamhe mein maujood hain hum ,
Ye lamha mauj hai saaghar ki ,
Tum is lamhe ke saath bahoo ,
Kuch der humare saath raho ,
Tareeekh ke jabr ki baat hai kya ,
Hum dono ki auqaat hai kya ,
Kuch roop ka sona daan karo ,
Khairaat apni muskaan karo ,
Hum jaise shaair logon ka ,
Jeena marna asaan karo ,
Sandal si bahein phailao ,
Kuch nazmein ghazlein de jaao,
Jo shayed baaqi reh jaayein ,
Phir do sau saal ke bad koi
Naqsh kamaal-e-fun kar de ,
Apni har por qalam kar de,
Aur raj kattaas ke patthar par ,
ik lok riwaayat naqsh kar de
Hum dono ko tamseel kare,
Aaina aks ba aks kare
Jis aks pe khushboo lehraaye ,
Jis naqsh pe titli raqs kare
Phir ek hazaar baras guzrein ,
Phir chaar hazaar baras guzrein,
Aasaar shinaasi ke mahir,
is daur ki jab tahqeeq Karein
Is rasmul khat ko pehchane,
is lamhe ki tasdeeq Karein
Ye lamha qaaim o daaim ho ,
Is lamhe ki sab komalta
us ehed-e-shayer tak pahunche ,
ye qissa aakhir tak pahunche
Kuch der humare saath raho
Koi kya jaane, lamha bhar mein,
ye lamha apne saath na ho
Kuch der humare saath raho..!!
By: Dr Kausar Mahmood
No comments:
Post a Comment