Ai jazba-e-dil gar main chaahun har cheez muqaabil aa jaaye...
Manzil ke liye do gaam chalun aur saamne manzil aa jaye.!
Ai dil ki khalish chal yunhi sahi chalta to hoon un ki mahfil mein...
Us waqt mujhe chaunka dena jab rang pe mahfil aa jaaye.!
Ai rahbar-e-kaamil chalne ko tayyaar to hoon par yaad rahe...
Us waqt mujhe bhatka dena jab saamne manzil aa jaaye.!
Haan yaad mujhe tum kar lena aawaaz mujhe tum de lena...
Is raah-e-mohabbat mein koi darpesh jo mushkil aa jaaye.!
Ab kyoon dhhundhun wo chashm-e-karam hone de sitam baala-e-sitam...
Main chaahta hoon ai jazba-e-ghum mushkil pas-e-mushkil aa jaaye.!
Is jazba-e-dil ke baare mein ek mashwara tum se leta hoon...
Us waqt mujhe kya laazim hai jab tujh pe mera dil aa jaaye.!
Ai barq-e-tajalli kaundh zara kya tu ne mujh ko bhi moosa samjha hai...
Main toor nahin jo jal jaaun jo chaahe muqaabil aa jaaye.!
Aata hai jo toofan aane do kashti ka khuda khud haafiz hai...
Mumkin to nahin in maujon mein bahta hua saahil aa jaaye..!!
"Behzad Lakhnawi"
No comments:
Post a Comment