Mujh ko na dil pasand na wo bewafa pasand,
Dono'n hain khud-gharaz mujhe dono'n hain na-pasand...
Ye dil wahi to hai jo tumhein ab hai na-pasand,
Ma'ashooq kar chuke hain jise baar-ha pasand...
Jins-e-wafa ko karte hain ahl-e-wafa pasand,
Dushman ko kya tameez hai dushman ki kya pasand...
Jannat ki koi hoor nazar par chadhi nahin,
Duniya mein mujh ko ek pari-zaad tha pasand...
Rondi kisi ne paa-e-hinaai se meri naash,
Thi zindagi mein mujh ko jo bu-e-hina pasand...
Wo bad-naseeb hai jise aaya pasand tu,
Qismat to us ki hai jise tu ne kiya pasand...
Chidte hain wo sawaal se ye hum samajh gaye,
Hai is liye unhein dil be-mudda'a pasand...
Soorat bhi pesh-e-chashm hai sirat bhi pesh-e-chashm,
Dam bhar mein to pasand hai dam bhar mein na-pasand...
Tujh ko ghuroor-e-zohd hai sharm-e-gunaah mujhe,
Zahid kise khabar ke khuda ko ho kya pasand...
Chotein chalengi khoob baraabar ki jod hai,
Tu hai ada-shanaas to main hun ada-pasand...
Hir phir ke un ki aankh adu se lade na kyoon,
Fitna ko karti hai nigah-e-fitna-za pasand...
Main khud sikha raha hun sitam ki ada unhein,
Duniya mein kab hua koi mujh sa jafa-pasand...
Rakh denge aaine ke baraabar hum apna dil,
Ya to ye na-pasand hua un ko ya pasand...
Kis darja saada-lauh hain aashiq-mizaaj bhi,
Jo dhhab pe chadh gaya wo unhein aa gaya pasand...
Mera hi kya qusoor ye mujh par sitam hai kyoon,
Aankhon ne dekha aap ko dil ne kiya pasand...
Inkar sun chuke hain talabgaar kyoon bane'n,
Milta nahin koi to hai be-faaida pasand...
'Bekhud' to mar mite jo kaha us ne naaz se,
Ek sheyr aa gaya hai humein aap ka pasand..!!
"Bekhud Dehlvi"
___
Jins-e-wafa = wares of constancy,
Ahl-e-wafa = loyalists,
Be-mudda'a = without want,
Ghuroor-e-zohd = pride of devout,
Nigah-e-fitna-za = calamitous glance,
Saada-lauh = simpleton, stupid
भोला-भाला, निश्छल,
No comments:
Post a Comment