Sunday, December 31, 2017

Wo Sun Kar Hoor Ki Taareef Parde Se Nikal Aaye

Wo sun kar hoor ki taareef parde se nikal aaye,
Kaha phir muskura kar husn-e-zeba is ko kahte hain,

Ajal ka naam dushman doosre maani mein leta hai,
Tumhaare chahne waale tamanna is ko kahte hain,

Mere madfan pe kyoon rote ho aashiq mar nahin sakta,
Ye mar jaana nahin hai sabr aana is ko kahte hain,

Namak bhar kar mere zakhmo'n mein tum kya muskuraate ho,
Mere zakhmo'n ko dekho muskurana is ko kahte hain,

Zamaane se adaawat ka sabab thi dosti jin ki,
Ab un ko dushmani hai hum se duniya is ko kahte hain,

Dikhaate hum na aaina to ye kyoon kar nazar aata,
Bashar hooro'n se achchha tum ne dekha is ko kahte hain

"Bekhud Dehlvi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...