Saturday, December 23, 2017

Un Ka Lehja Rabab Se Barh Kar

Un ka lehja rabaab se barh kar
Har ada hai shabaab se barh kar...

Yoon to masoom hain bahut lekin
Shokhiyan hain azaab se barh kar...

Aarizon par hai shaam ki surkhi
Honth un ke gulaab se barh kar...

Dil ke sheeshey mein aur kya hoga
Is haseen mahtab se barh kar...

Wo jo ke us ke bina guzaari hai
Zindagi thi azaab se barh kar...

Us ki chup mein hazaar qissey hain
Khamushi thi kitaab se barh kar...

Kya kisi se wo mil ke aaye hain
Lag rahe hain nawaab se barh kar...

Kah do un se “Farah” koi nahi 
Dil mein mere janaab se barh kar.!!

By: Fareeda Lakhani Farah

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...