Wednesday, December 20, 2017

Chashm-e-haseen Mein Hai Na Rukh-e-fitna'gar Mein Hai

Chashm-e-haseen mein hai na rukh-e-fitna'gar mein hai...
Duniya ka har fareb fareb-e-nazar mein hai.!

Ab kya khabar ke dil mein hai kya kya jigar mein hai...
Ab to teri nazar ka tamasha nazar mein hai.!

Imaan rakh ke kya karun farsooda cheez hai...
Masti mujhe qubool ke teri nazar mein hai.!

Naasoor dard-e-zakhm tapish soz-o-iztiraab...
Saamaan sau tarah ka dil-e-mukhtasar mein hai.!

Haazir hai us ke waaste jis ko ho aarzoo...
Haan ek lahoo ki boond meri chashm-e-tar mein hai.!

Qismat se mil gayi hai ye bedaari-e-hayat...
Is ishq ke nisaar ke duniya nazar mein hai.!

Mujh ko na din ko chain na shab ko sukoon naseeb...
Ek rabt-e-daa'imi meri shaam-o-sahar mein hai.!

Hairat se dekhiye na mere sajda'haa-e-shauq...
Ye aastaan kuchh aur hi meri nazar mein hai.!

Baaqi hain baad-e-tauba bhi rindi ke walwale...
Dil mein khyaal-e-baada hai saaghar nazar mein hai.!

Achchhi mili hai mujh ko ye deewangi-e-shauq.!
Duniya ka har khyaal dil-e-be'khabar mein hai.!

Do qatra'haa-e-khoon sar-e-mizhgaan hain muntazir...
'Behzad' do jahaan ka tamasha nazar mein hai..!!

"Behzad Lakhnawi"
___
Chashm-e-haseen = eyes of beautiful,
Farsooda = outdated/ obsolete,
Aastaan = abode, threshold, shrine,
Rindi = drunkenness, debauchery,
Khyaal-e-baada = thought of wine,
Sar-e-mizhgaan = on eyelashes,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...