Thursday, December 21, 2017

Aashiq Samajh Rahe Hain Mujhe Dil Lagi Se Aap

Aashiq samajh rahe hain mujhe dil lagi se aap,
Waaqif nahin abhi mere dil ki lagi se aap...

Dil bhi kabhi mila ke mile hain kisi se aap,
Milne ko roz milte hain yoon to sabhi se aap...

Sab ko jawaab degi nazar hasb-e-mudda'a,
Sun lijiye sab ki, baat na kijiye kisi se aap...

Marna mera ilaaj to be-shak hai soch loon,
Ye dosti se kahte hain ya dushmani se aap...

Hoga juda ye haath na gardan se wasl mein,
Darta hoon ud na jaayein kahin naazuki se aap...

Zaahid khuda gawaah hai hote falak par aaj,
Lete khuda ka naam agar aashiqi se aap...

Ab ghoorne se faayeda bazm-e-raqeeb mein,
Dil par chhuri to pher chuke be-rukhi se aap...

Dushman ka zikr kya hai jawaab us ka dijiye,
Raste mein kal mile the kisi aadmi se aap...

Shohrat hai mujh se husn ki is ka mujhe hai rashk,
Hote hain mustafiz meri zindagi se aap...

Dil to nahin kisi ka tujhe todte hain hum,
Pahle chaman mein puchh lein itna kali se aap...

Main bewafa hoon, ghair nihaayat wafa shiaar,
Mera salaam lijiye milein ab usi se aap...

Aadhi to intezaar hi mein shab guzar gayi,
Us par ye turra so bhi rahenge abhi se aap...

Badla ye riop aap ne kya bazm-e-ghair mein,
Ab tak meri nigaah mein hain ajnabi se aap...

Parde mein dosti ke sitam kis qadar hue,
Main kya bataaun puchhiye ye apne ji se aap...

Ai shaikh aadmi ke bhi darje hain mukhtalif,
Insan hain zaroor magar waajibi se aap...

Mujh se salaah li na ijaazat talab hui,
Be-wajah rooth baithe hain apni khushi se aap...

'Bekhud' yahi to umr hai aish o nashaat ki,
Dil mein na apne tauba ki thhaanein abhi se aap..!!

"Bekhud Dehlvi"
___
Mustafiz = beneficiary,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...