Sang-e-marmar se tarasha hua shaffaaf badan,
Itna dil-kash hai ke apnane ko ji chahta hai...
♥
Surkh honthon mein thirakti hai wo rangeen sharaab,
Jis ko pi kar ke bahak jaane ko ji chahta hai...
♥
Narm seene mein dhadakte hein wo naazuk tufaan,
Jin ki lahron mein utar jaane ko ji chahta hai...
♥
Tum se kya rishta hai, kab se hai, maloom nahin,
Lekin is husn pe mar jaane ko ji chahta hai...
♥
Rakh le kal ke liye doosri paazeb ai dil,
Kal is bazm mein phir aane ko ji chahta hai...
♥
Be-khabar soye hain wo loot ke neendein meri,
Jazba-e-dil pe taras khaane ko ji chahta hai...
♥
Kab se khamosh ho ai jaan-e-jahaan kuchh bolo,
Kya abhi aur sitam dhaane ko ji chahta hai?
♥
Chhorh kar tum ko kahaan chain milega ham ko,
Yahin jeene, yahin mar jaane ko ji chahta hai...
♥
Apne haathon se sanwara hai tumhein qudrat ne,
Dekh kar dekhte rah jaane ko ji chahta hai...
♥
Mere daaman ko koi aur na chhu payega,
Tum ko chhu kar ye qasam khaane ko ji chahta hai...
♥
Chaand chahra hai tera, aur nazar hai bijli,
Ek ek jalwe pe mar jaane ko ji chahta hai...
♥
Chaand ki hasti hi kya jab saamne suraj ho,
Aap ke qadmon mein mit jaane ko ji chahta hai.!!
"Sahir Ludhianwi"
No comments:
Post a Comment