Udaasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha,
Woh chahta to mere sath chal bhi sakta tha,
Woh shakss tu ne jis ko chhodne ki jaldi ki,
Tere mizaaj ke saanchay main dhhal bhi sakta tha,
Woh jald-baaz khafaa ho kar chal diya warna,
Tanazaat ka koi hal nikal bhi sakta tha,
Anaa ne haath uthaane na diya warna,
Meri duaa se woh patthar pighal bhi sakta tha,
Tamaam umar tera muntazir raha "Mohsin",
Yeh aur baat ke rasta badal bhi sakta tha..!!
"Mohsin Naqwi"
No comments:
Post a Comment