Tuesday, June 6, 2017

Mohabbaton Mein Aziyat-Shanaas Kitni Thin

Mohabbaton Mein Aziyat-Shanaas Kitni Thin,
Bichhadte Waqt Wo Aankhein Udaas Kitni Thin,

Falak Se Jin Mein Utarte Hain Qaafile Ghum Ke,
Meri Tarah Wo Shabein Us Ko Raas Kitni Thin,

Ghilaaf Jin Ki Lahad Pe Chadhaaye Jaate Hain,
Wo Hastiyaan Bhi Kabhi Be-libaas Kitni Thin,

Bichhad Ke Tujh Se Kisi Taur Dil Bahal Na Saka,
Nishaaniya'n Bhi Teri Mere Paas Kitni Thin,

Utar Ke Dil Mein Bhi Aankhein Udaas Logon Ki,
Aseer-e-Waham-o-Rahan-e-Hiraas Kitni Thin,

Wo Suratein Jo Nikharti Thin Mere Ashkon Se,
Bichhad Ke Phir Na Milein Na-sipaas Kitni Thin,

Jo Us Ko Dekhte Rahne Mein Katt Gayi "Mohsin",
Wo Sa'atein Bhi Muheet-e-hawaas Kitni Thin..!!

_ Mohsin Naqwi

محبتوں   میں  اذّیت  شناس  کتنی  تھیں.
بچھڑتے وقت وہ آنکھیں اُداس کتنی تھیں.

فلک  سے  جن  میں  اُترتے ہیں قافلے غم کے.
مری طرح وہ شبیں اُس کو راس کتنی تھیں.

غلاف  جن  کی  لحد  پر چڑھائے جاتے ہیں.
وہ ہستیاں بھی کبھی بے لباس کتنی تھیں.

بچھڑ کے تجھ سے کسی طور دِل بہل نہ سکا.
نِشانیاں  بھی  تیری  میرے پاس کتنی تھیں.

اُتر کے دل میں بھی آنکھیں اُداس لوگوں کی.
اسیرِ    وہم   و   رہن  ِ ہراس    کتنی   تھیں.

وہ صورتیں جو نکھرتی تھیں میرے اشکوں سے.
بچھڑ   کے   پھر  نہ  ملیں  ناسپاس  کتنی تھیں.

جو اُس کو دیکھتے رہنے میں کٹ گئیں محسن.
وہ  ساعتیں  بھی  محیطِ  حواس کتنی تھیں.
                                                                       

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...