Friday, June 9, 2017

Bahut khoobsurat Ho Tum

Bahut khoobsurat ho tum...

Kabhi mein jo kah doon,
Mohabbat hai tum se..
To mujh ko khudaara, ghalat na samajhna..

Ke meri zaroorat ho tum,
Bahut khoobsurat ho tum...

Hain phoolon ki daali ye baahein tumhari,
Hai khamosh jaadu nigahein tumhari,

Jo kaante ho sab, apne daaman mein rakh loon,
Sajaaun main kaliyon se raahe tumhari,

Nazar se zamaane ki khud ko bachana,
Kisi aur se dekho dil na lagaana,

Ke meri amaanat ho tum,
Bahut khoobsurat ho tum...

Hai chehra tumhara ke din hai sunehra,
Aur us par ye kaali ghataon ka pehra,

Gulaabon se naazuk mahakta badan hai,
Ye lab hai tumhare ki khilta kanwal hai,

Bikhero jo zulfein to sharmaye baadal,
Ye zaahid bhi dekhe to ho jaaye paagal,

Woh paakeeza moorat ho tum,
Bahut khoobsurat ho tum...

Jo ban ke kali muskuraati hai aksar,
Shab-e-hijr mein jo rulaati hai aksar,

Jo lamhon hi lamhon mein duniya badal de,
Jo shayer ko de jaaye pahlu ghazal ke,

Chupaana jo chaahe chupayi na jaaye,
Bhulana jo chaahe bhulayi na jaaye,

Woh pahli mohabbat ho tum,
Bahut khoobsurat ho tum.!!

"Tahir Faraz"


No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...