Saturday, June 3, 2017

Kuch To Tanhaai Ki Raato'n Main Sahara Hota

Kuch to tanhaai ki raato'n main
sahara hota,
Tum na hote na sahi zikr
tumhara hota,
Tark-e-duniya ka yeh daava
hi fazool hai,
Baar-e-hasti to zara sar se
utara hota,
Woh agar aa na sake maut
hi aayi hoti,
Hijr main koi to gham-khwar
hamara hota,
Zindagi kitni massarat se
guzarti ya rab,
Aish ki tarah agar gham bhi
gawaara hota,
Azmat-e-girya ko kotah-nazzar
kya samjhen,
Ashk agar ashk na hota to
sitara hota,
Gham-e-ulfat jo na milta
gham-e-hasti milta,
Kisi surat to zamane main
guzara hota,
Kis ko fursat thi zamane ke
sitam sehne ki,
Gar na us shokh ki aankho'n ka
ishara hota,
Koi hamdard zamane main
na paya akhtar,
Dil ko hasrat hi rahi koi
hamara hota..!!

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...