Saturday, June 3, 2017

Jalte Jalte Bujh Gayi Ek Mombatti Raat Ko

Jalte jalte bujh gayi ek mombatti
raat ko,
Mar gayi faaqa-zada masoom bachchi
raat ko,
Aandhiyon se kya bachaati phool ko
kanton ki baadh,
Sehen main bikhri hui thi pati pati
raat ko,
Kitna boseeda dareeda pairhann
hai zeb-tan,
Woh jo charkha kaat'ti rahti hai ladki
raat ko,
Sehen main ik shor sa har aankh hai
hairat-zada,
Choodiya'n sab tod dee'n dulhan ne pahli
raat ko,
Jab chali Thandi hawaa bacha thithur ke
reh gaya,
Maa ne apne laal ki takhti jalaa di
raat ko,
Waqt to har ek dar par dastakein
deta raha,
Ek saa-at ke liye jaagi na basti
raat ko,
Margh-zar-e-shayari main gum raha
sibt-e-ali,
So gayi raah dekhte beemar biwi
raat ko..!!

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...