Saturday, June 3, 2017

Bada Kathin Hai Rasta

Bada kathin hai rasta, jo aa sako to
sath do,
Yeh zindagi ka faasla, mita sako to
sath do,
Bade fareb khao ge, bade sitam
uthao ge,
Yeh umr bhar ka sath hai, nibha sako to
sath do,
Jo tum kaho yeh dil to kya jaan bhi
fida karoon,
Jo main kahoon bas ik nazar lutaa sako to
sath do,
Main ik fareb be-nava, main ik faqeer
be-sadaa,
Meri nazar ki iltijaa jo paa sako to
sath do,
Hazaar imtihan yahan, hazaar
aazmaaishen,
Hazaar dukh, hazaar gham, utha sako
to sath do,
Yeh zindagi yahan khushi ghamo'n ke
sath sath hai,
Rula sako to sath do, hansaa sako to
sath do..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...