Ae maut unhein bhulaaye zamane guzar gaye,
Aa ja ke zahar khaaye zamane guzar gaye,
O jaane waale aa ke tere intizaar
main,
Raaste ko ghar banaye zamane guzar gaye,
Ghum hai na ab khushi hai na ummeed hai na aas,
Sab se nijaat paaye zamane guzar gaye,
Kya laaiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto,
Patthar bhi ghar main aaye zamane guzar gaye,
Jaan-e-bahaar phool nahin aadmi hoon main,
Aa ja ke muskuraye zamane guzar gaye,
Kya kya tavaqquaat theen aahon se ai “khumar”,
Ye teer bhi chalaaye zamane guzar gaye.!!
"Khumar Barabankawi"
No comments:
Post a Comment