Saturday, June 10, 2017

Aaj Phir Gardish-e-Taqdeer Pe Rona Aaya

Aaj phir gardish-e-taqdeer pe rona aaya,
Dil ki bigdi hui tasweer pe rona aaya..

Ishq ki qaid mein ab tak to ummidon pe jiye,
Mit gayi aas to zanjeer pe rona aaya..

Kya haseen khwaab mohabbat ne dikhaya tha humein,
Khul gayi aankh to taabeer pe rona aaya..

Pshle qaasid ki nazar dekh ke dil saham gaya,
Phir teri surkhi-e-tahreer pe rona aaya..

Dil ganwa kar bhi mohabbat ke maze mil na sake,
Apni khoi hui jaageer pe rona aaya..

Kitne masroor the jeene ki duaao'n pe 'Shakeel'
Jab mile ranj to taaseer pe rona aaya.!

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...