Wo dushman e jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha,
Ab kis se kahein, koi humara bhi kabhi tha..
♥
Utra hai rag-o-pai mein to dil kat sa gaya hai,
Ye zahar-e-judaai, ke gawara bhi kabhi tha..
♥
Har dost jahaan abr-e-gurezaa'n ki tarah hai,
Ye shahar, yahi shahar, humara bhi kabhi tha..
♥
Titli ke taaqqub me koi phool sa bachcha,
Aisa hi koi khwaab humara bhi kabhi tha..
♥
Ab agle zamane ke mile log to poochhein,
Jo haal humara hai, tumhara bhi kabhi tha?
♥
Har bazm mein hum ne use afsurda hi dekha,
Kahte hain 'Faraz' anjuman-aaraa bhi kabhi tha.!!
"Ahmad Faraz"
No comments:
Post a Comment