Aahat Si Koi Aaye To Lagta Hai Ke Tum Ho

Aahat si koi aaye to lagta hai ke tum ho,
Saaya koi lahraaye to lagta hai ke tum ho,

Jab shaakh koi haath lagate hi chaman main,
Sharmaye lachak jaaye to lagta hai ke tum ho,

Sandal si mahkti hui pur-kaif hawaa ka,
Jhonka koi takraaye to lagta hai ke tum ho,

Odhe huye taaron ki chamakti hui chaadar,
Nadi koi bal khaaye to lagta hai ke tum ho,

Jab raat gaye koi kiran mere baraabar,
Chup-chaap si so jaaye to lagta hai
ke tum ho.!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

Comments

Popular posts from this blog

Koi Aisa Jaadu Tona Kar

Bakht Ke Takht Se Yak-lakht Utara Hua Shakhs

Hum Ne Har Dukh Ko Mohabbat Ka Tasalsul Samjha