Daagh duniya ne diye, zakhm zamane se mile,
Hum ko tohfe yeh tumhe dost banane se mile,
Hum taraste hi taraste hi taraste hi rahe,
Woh falaane se falaane se falaane se mile,
Khud se mil jaate to chaahat ka bharam rah jata,
Kya mile aap jo logon ke milane se mile,
Maa ki aaghosh main kal maut ki aaghosh main aaj,
Hum ko duniya main yeh do waqt suhaane se mile,
Kabhi likhwaane gaye khat kabhi padhwaane gaye,
Hum haseenon se isi heelay bahaane se mile,
Ik naya zakhm mila ek nayi umr mili,
Jab kisi shahar main kuch yaar puraane se mile,
Ek hum hi nahin phirte hain liye qisssa-e-ghum,
Un ke khamosh labo'n par bhi fasaane se mile,
Kaise maanein ke unhein bhool gaya tu ai "Kaif",
Un ke khat aaj humein tere sirhaane se mile.!!
"Kaif Bhopali"
No comments:
Post a Comment