Us ki katthai aankon mein hain jantar mantar sab,
Chaqu, waqu, chhuriya, wuriyan, khanjar, wanjar, sab..
Jis din se tum ruthi ho, mujh se roothe roothe hain,
Chaadar, wadar, takiya, wakiya, bistar, wistar, sab..
Mujh se bichad kar wo bhi kahan ab pehle jaisi hai,
Pheeke pad gaye kapde, wapde, zewar, wewar, sab..
Aakhir kis din duubunga mein, fikren karte hain,
Darya, wariya, kashti, washti, langar, wangar, sab.!
♥
-Rahat Indori
No comments:
Post a Comment