Koi ye kah de gulshan gulshan,
Laakh bala'ein ek nasheman,
Qaatil rahbar qaatil rahzan,
Dil sa dost na dil sa dushman,
Phool khile hain gulshan gulshan,
Lekin apna apna daaman,
Ishq hai pyaare khel nahin hai,
Ishq hai kaare-sheesha-o-aahan,
Khair mizaaj-e-husn ki ya rab,
Tez bahut hai dil ki dhadkan,
Aa ke na jaane tujh bin kab se,
Rooh hai laasha jism hai madfan,
Aaj na jaane raaz ye kya hai,
Hijr ki raat aur itni raushan,
Umrein beetin sadiyaan guzrin,
Hai wahi ab tak ishq ka bachpan,
Tujh sa haseen aur khoon-e-mohabbat,
Wahm hai shayad surkhi-e-daaman,
Barq-e-hawadis Allah Allah
Jhoom rahi hai shaakh-e-nasheman,
Tu ne sulajh kar gesu-e-jaanaa,
Aur badha di shauq ki uljhan,
Rahmat hogi taalib-e-isyaan,
Rashk karegi paaki-e-daaman,
Dil ki mujassam aaina-saman,
Aur wo zaalim aaina-dushman,
Baithe hum har bazm mein lekin,
Jhaad ke utthe apna daaman,
Hasti-e-shayer Allah Allah,
Husn ki manzil ishq ka maskan,
Rangeen fitrat sada tabiyat,
Farsh-nasheen aur arsh-nasheman,
Kaam adhoora aur aazaadi,
Naam bade aur thode darshan,
Shama hai lekin dhundli dhundli,
Saaya hai lekin raushan raushan,
Kaanton ka bhi haq hai kuchh aakhir,
Kaun chhudaye apna daaman,
Chalti phirti chhanw hai pyaare,
Kis ka sahra kaisa gulshan..!!
"Jigar Muradabadi"
No comments:
Post a Comment