Barabar se bach kar guzar jaane waale,
Ye naale nahin be-asar jaane waale..
Nahin jaante kuchh ke jaana kahaan hai,
Chale ja rahe hain magar jaane waale..
Mere dil ki betabiyaan bhi liye ja,
Dabe paanw munh pher kar jaane waale..
Tere ek ishaare pe saakit khade hain,
Nahin kah ke sab se guzar jaane waale..
Mohabbat mein hum to jiye hain jiyenge,
Wo honge koi aur mar jaane waale..!!
"Jigar Muradabadi"
No comments:
Post a Comment