Thursday, May 3, 2018

Hum Ko Mita Sake Ye Zamane Mein Dum Nahin

Hum ko mita sake ye zamane mein dum nahin,
Hum se zamana khud hai zamane se hum nahin,

Be-fayeda alam nahin bekaar ghum nahin,
Taufeeq de khuda to ye nemat bhi kam nahin,

Meri zabaan pe shikwa-e-ahl-e-sitam nahin,
Mujh ko jaga diya yahi ahsaan kam nahin,

Ya rab hujoom-e-dard ko de aur wus'atein,
Daaman to kya abhi meri aankhein bhi nam nahin,

Shikwa to ek chhed hai lekin haqeeqatan,
Tera sitam bhi teri inaayat se kam nahin,

Ab ishq us maqaam pe hai justuju-naward,
Saaya nahin jahaan koi naqsh-e-qadam nahin,

Milta hai kyun maza sitam-e-rozgaar mein,
Tera karam bhi khud jo shareek-e-sitam nahin,

Marg-e-'Jigar' pe kyun teri aankhein hain ashk-rez,
Ek saaneha sahi magar itna aham nahin..!! 

"Jigar Muradabadi"
___
Justuju-naward = new search,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...