Nigaahon ka markaz bana ja raha hun,
Mohabbat ke haathon luta ja raha hun,
Main qatra hun lekin ba-aghosh-e-dariya,
Azal se abad tak baha ja raha hun,
Mubarak mubarak meri ye fanaa'ein,
Do-aalam pe chhaya chala ja raha hun,
Wahi husn jis ke hain ye sab mazaahir,
Usi husn mein hal hua ja raha hun,
Ye kis ki taraf se ye kis ki taraf ko,
Main ham-dosh mauj-e-fana ja raha hun,
Na jaane kahaan se na jaane kidhar ko,
Bas ek apni dhun mein uda ja raha hun,
Mujhe rok sakta ho koi to roke,
Ke chhup kar nahin barmala ja raha hun,
Mere paas aao ye kya saamne hun,
Meri samt dekho ye kya ja raha hun,
Nigaahon mein manzil meri phir rahi hai,
Yunhi girta padta chala ja raha hun,
Teri mast nazrein ghazab dhha rahi hain,
Ye aalam hai jaise uda ja raha hun,
Kidhar hai tu ai ghairat-e-husn khud mein,
Mohabbat ke hathon bika ja raha hun,
Na auraak-e-hasti na ahsas-e-masti,
Jidhar chal pada hun chala ja raha hun,
Na soorat na maani na paida na pinhaa'n,
Ee kis husn mein gum hua ja raha hun..!!
"Jigar Muradabadi"
No comments:
Post a Comment