Sab pe tu mehrbaan hai pyare,
Kuchh humara bhi dhyaan hai pyare,
Aa ke tujh bin bahut dinon se ye dil,
Ek suna makaan hai pyare,
Tu jahaan naaz se qadam rakh de,
Wo zameen aasmaan hai pyare,
Mukhtasar hai ye shauq ki rudaad,
Har nafas dastaan hai pyare,
Apne ji mein zara to kar insaaf,
Kab se na-mehrbaan hai pyare,
Sabr toote hue dilon ka na le,
Tu yunhi dhaan paan hai pyare,
Hum se jo ho saka so kar guzre,
Ab tera imtihaan hai pyare,
Mujh mein tujh mein to koi farq nahin,
Ishq kyun darmiyaan hai pyare,
Kya kahe haal-e-dil ghareeb 'Jigar',
Tooti phooti zabaan hai pyare..!!
"Jigar Muradabadi"
No comments:
Post a Comment