Dekhte jaate hain namnaak hue jaate hain,
Kya gulistaan khas-o-khashaak hue jaate hain,
Ek ek kar ke wo ghum-khwar sitare mere,
Ghum sar-e-wusat-e-aflak hue jaate hain,
Khush nahin aaya khizaa'n ko mera uryaa'n hona,
Zard patte meri poshaak hue jaate hain,
Dekh kar qarya-e-veeran mein zamistaa'n ka chaand,
Shaam ke saaye alam-naak hue jaate hain,
Zulm sab ahl-e-zameen par hain zameen waalon ke,
Hum abas dushman-e-aflaak hue jaate hain,
Deeda-e-tar se mayassar tha humein dil ka gudaaz,
Qaht-e-girya hai to saffaak hue jaate hain,
Koozagar ne humein mitti se kiya tha takhleeq,
Kya ta'ajjub hai agar khaak hue jaate hain,
Kaisi ibrat hai ke is kashmakash-e-rizq mein hum,
Apne hi rizq ki khuraak hue jaate hain.!!
"Farasat Rizwi"
No comments:
Post a Comment