Wo din jo beet gaya phir kisi ne paaya nahin,
Kabhi kamaan se koi teer ja ke aaya nahin,
Thehar gaya hai sar-e-markaz-e-falak suraj,
Ye waqt wo hai ke deewar mein bhi saaya nahin,
Ye be-dili-e-musalsal ye ranj-e-na-maloom,
Tujhe bhula ke bhi hum ne tujhe bhulaya nahin,
Aseer-e-bazm is aawargi ko kam na samajh,
Jo apne saath guzara wo din ganwaya nahin,
Bichhadne se bhi siwa hai ye ghum ke shaam-e-firaaq,
Koi sitara in aankhon mein jhilmilaya nahin,
Bas apna naam wo kaaghaz pe likh ke chhorh gaya,
Main so raha tha to us ne mujhe jagaya nahin,
Main apne ahd ki takmeel tujh se kya karta,
Ke main ne khud se bhi waada koi nibhaya nahin,
'Farasat' ek to kam-himmati mujhi mein thi,
Phir us nazar ne bhi kuchh hausla badhaya nahin.!!
"Farasat Rizwi"
No comments:
Post a Comment