Wednesday, May 30, 2018

Mohabbaton Ka Chaman Payemaal Hum Ne Kiya

Mohabbaton ka chaman payemaal hum ne kiya,
Khud apne aap ka jeena muhaal hum ne kiya..

Jo lazzatein hain dukhon mein masarraton mein kahaan,
Mila urooj to us ko zawaal hum ne kiya..

Na kaar-e-dil ke the laaiq na kaar-e-duniya ke,
Jo kuchh kiya to ghum-e-mah-o-saal hum ne kiya..

Hazaar dard ke mausam guzar gaye lekin,
Kabhi daraaz na dast-e-sawaal hum ne kiya..

Ye ramz-e-ishq ye naazuk kinaaye hum ne sikhaye,
Nigah-e-naaz tujhe be-misaal hum ne kiya..

Diye taraash liye yaas ke andheron se,
Ghum-e-firaaq ko khwab-e-wisaal hum ne kiya..

Sukhan se rang gaya zindagi se khwab gaye,
Ye zakhm hijr ka kyun indimaal hum ne kiya..

Hui hai aaj tabiyat sukhan pe phir maail,
So mauj-e-dard ko dil mein bahaal hum ne kiya.!!

"Farasat Rizwi"
__________

Ramz-e-ishq = hidden meaning of love,
Kinaaye = innuendo,
Indimaal = cure,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...