Wednesday, May 30, 2018

Koi Rahzan Na Musafir Na Shajar Ki Surat

Koi rahzan na musafir na shajar ki surat,
Dekh is ujdi hui rahguzar ki surat..

Jaane kab khana-badoshi ke ye din guzrenge,
Muddatein ho gayin dekhe hue ghar ki surat..

Pahle dukh tha ke sar-e-rahguzar baithe hain,
Ab koi ranj nahin ranj-e-safar ki surat..

Apne hi aks se fursat nahin milti warna,
Aaine mein hai kahin aaina-gar ki surat,

Itne payaab nahin hai ke har ek ko mil jaayen,
Hum to rahte hain samandar mein gauhar ki surat,

Aaj aankhon mein nami hai to ghanimat jaano,
Qaht-e-girya mein kahaan deeda-e-tar ki surat,

Beech raste mein humein chhorh ke jaane waale,
Saath hon lenge tere gard-e-safar ki surat, 

Chashm-e-ibrat se 'Farasat' mein use dekhta hun,
Kal ye veerana tha aabaad nagar ki surat.!!

"Farasat Rizwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...