Mizha pe ashk-e-alam jhilmilaye aakhir-e-shab,
Bichhadne waale bahut yaad aaye aakhir-e-shab..
Wo jin ke qurb se dhhaaras thi mere dil ko bahut,
Koi kahin se unhein dhundh laate aakhir-e-shab..
Ye shor-e-baad-e-zamistaa'n ye raasta sunsaan,
Dara rahe hai darakhton ke saaye aakhir-e-shab..
Hawa mein dard ki shiddat se zamzama-paira,
Sunega kaun ye meri sada-e-aakhir-e-shab..
Rawana hone ko hai karwaan sitaron ka,
Phir us ke baad kahan naqsh-e-pa-e-aakhir-e-shab..
Kidhar chali hai nigaar-e-falak kise maloom,
Ye tasht-e-maah-o-sitara uthaye aakhir-e-shab..
Wo teri yaad ke mehmaan ho gaye rukhsat,
Ujad gayi mere dil ki saraye aakhir-e-shab..
Phir us ke baad wahi dhoop hai mashaqqat ki,
Zara si der ko hai khwabnaye aakhir-e-shab..
Naseeb ho saf-e-aaindagaa'n ko taaza sahar,
Mere labo'n pe yahi hai dua-e-aakhir-e-shab..
Wo so gaye hain jinhein jaagne ki aadat thi,
Kise pukaar rahi hai hawa-e-aakhir-e-shab..
'Farasat' ab hui mahfil tamaam ghar ko chalo,
Sarak rahi hai falak par rida-e-aakhir-e-shab.!!
"Farasat Rizwi"
__________
Mizha = eyelashes,
Dhhaaras = Encouragement, Lull,
Zamzama-paira = singing song,
No comments:
Post a Comment