Gaye dinon ka hawala tha kaam kya deta,
Guzar gaya wo jawab-e-salaam kya deta,
Dayaar-e-shab se bhi aage mera safar tha bahut,
So mera saath wo maah-e-tamaam kya deta,
Main is kharaba-e-dil ke ujaad manzar mein,
Kisi ko daawat-e-sair-o-qayaam kya deta,
Jo tu na aata to rang-e-fasurdagi ke siwa,
Meri nigaah ko ye husn-e-shaam kya deta,
Shikasta-paai pe jab mutmaeen the rahrawaa'n,
Main qaafile ko dua-e-khiraam kya deta,
Mujhe khabar hai sarisht-e-sifaal mein hai zawaal,
Main apne dil ko fareb-e-dawaam kya deta,
Main koozagar ki dukaan par rakha raha ta-umr,
Koi charagh-e-shikasta ke daam kya deta,
Usi se mujh ko mohabbat usi se nafrat bhi,
Main us ta'alluq-e-khaatir ko naam kya deta,
Ye shahar ho gaya khaali sukhan-shanaso'n se,
Yahaan koi mujhe daad-e-kalaam kya deta.!!
"Farasat Rizwi"
No comments:
Post a Comment