Khel tha apni ana ka ishq use samjha kiya,
Main ne apne aap se kitna bada dhoka kiya..
Umr-bhar ka hum-nafas ek pal mein rukhsat ho gaya,
Aur main khamosh use jaate hue dekha kiya..
Ek zara si baat par rootha raha wo der tak,
Muskura ke khud hi phir meri taraf chehra kiya..
Fikr ki lazzat ke baais hain meri nakaamiyan,
Sab amal karte rahe aur main faqat socha kiya..
Zakhm ki ek aag thi jis se sukhan raushan rakha,
Dard ki ek lahar thi main ne jise naghma kiya..
Sab hi kuchh us se na kahna tha jo tere dil mein tha,
Shiddat-e-izhaar mein tu ne 'Farasat' kya kiya.!!
"Farasat Rizwi"
No comments:
Post a Comment