Malboos-e-ghubaar yaad rakhna,
Ye rahguzaar yaad rakhna..
Ek shaam-e-khizaa'n yahin kahin hai,
Ai subah-e-bahaar yaad rakhna..
Hum kashti-e-ishq ke musafir,
Utre nahin paar yaad rakhna..
Ai zakhma-waraa'n-e-barbat-e-dil,
Tooe hue taar yaad rakhna..
Patjhad ki hawa'en cheekhti hain,
Kya saut-e-hazaar yaad rakhna..
Hum jaate hain baar-e-ghum uthaye,
Ai shahar-e-nigaar yaad rakhna..
Ibrat ka maqaam hai ye duniya,
Veeran dayaar yaad rakhna..
Ai waadi-e-gul ko jaane waale,
Raston ke ye khaar yaad rakhna..
Milti hai ghumo'n se bhi basirat,
Zakhmon ka shumaar yaad rakhna..
Bachpan ke makaan ka nakhl-e-humraaz,
Ye haar singhaar yaad rakhna..
Ye harf hai raushni-e-farda,
Harf sar-e-daar yaad rakhna..
Shayad main ye khwab bhool jaaun,
Tum ai mere yaar yaad rakhna.!!
"Farasat Rizwi"
__________
Saut-e-hazaar = thousand sounds,
No comments:
Post a Comment